Dil hai mera maqaam-e-gham,


Dil hai mera maqaam-e-gham, gham ka maqaam hai yahaan
Naa’la-e-subah hai yahaan, giriyaa-e-shaam hai yahaan

Ek tasawwur-e-haseen khilwat-e-dil mein hai makeen
Deeda-e-shauq ke liye deed haraam hai yahaan

Nikhat-e-noor-o-naar udhar, zulmat-o-soz-o-saaz idhar
Subah hi subah hai wahaan, shaam hi shaam hai yahaan

Sahan-e-chaman mein har jagah nash’sha sa failne lagaa
Aaj yah kaun mahalaqaa mast-e-khiraam hai yahaan

Mera alam’kada nahin rang-e-tarab se aashna
fasl-e-khijaan ho ya bahaar, maatam-e-aam hai yahaan

Unke liye suroor-e-naaz, mere liye gham-o-gudaaz
Gardish-e-chashm hai wahaan, gardish-e-jaam hai yahaan.

Good Morning, Good Morning Sms, Good Morning Pictures, Latets Good Morning Pictures, Latest Good Morning Sms, Collection of Good Morning Pictures,



Sunahari dhup barsat ke baad
Thori si hansi her baat ke baad
Usi tarah ho aap ko mubarak
Nayi subah her raat ke baad
Good Mourning

Good Morning, Good Morning Sms, Good Morning Pictures, Latets Good Morning Pictures, Latest Good Morning Sms, Collection of Good Morning Pictures,


New morning
New aim
New decision
New dream
New idea
New thinking
New ambition
and
GREAT SUCCESS
May God give you everything in life
Good Morning

Good Night, Good Night Sms, Good Night Pictures, Moon Pictures, Latest Good Night Sms, Smile is the Best Credit Card,

Smile is the Best Credit Card
Bcoz it is Accepted World Wide
Auto Reload
Unlimited Usage
No Payment
At all makes every1 Happy
So keep Smiling.

Good Night

Urdu Ghazal,

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo Shamim
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya.

Kaho, wo chaand kesa tha?


Kaho, wo chaand kesa tha?
Kaho, wo dasht kesa tha?
jidhar sub kuch luta aaye
jidher aankhain ganwa aaye,
kaha, selaab jesa tha, bohat chaaha ke bach niklain
magar sub kuch baha aaye!
Kaho, wo hijr kesa tha?
Kbhi choo ker usey dekha?
To tum ne kya bhala paaya?
Kaha, bus aag jesa tha, usey choo ker to apni rooh pe
tan man jala aaye!
Kaho, wo wasl kesa tha?
Tumhain jab choo liya usne
to kya ehsaas jaaga tha?
Kaha,ik raastey jesa,jidher se bus guzarna tha,
makaa'n lekin bana aaye!!!
Kaho, wo chaand kesa tha?
Falak se jo utar aaya!
Tumhaari aankh main basne
Kaha wo khwaab jesa tha
nahi ta'abeer thee uski
usey ik shab sula aaye
Kaho, wo ishq kesa tha?
Bina parkhey kiya tum ne
Kaha, titli ke rang jesa, bohat kachaa, anokha sa
jabhi usko bhula aaye
Kaho, wo naam kesa tha?
Jise sehraaw'n or chanchal haawaawn per likha tha
Kaha, bus mosmo'n jesa, na jaaney kis tarha kis pal
kisi ro main mita aaye!

Khpalo malgaro pakhwano sara zam

Khpalo malgaro pakhwano sara zam
Nan da sehra da lewano sara zam

Umar sho ter na shwa pura latana
Hagha nemgaro afsano sara zam

Wakht aakhiri dy sitamgara rasha
Sta daroghjano bahano sara zam

Saqi da sta da tang nazrai da losa
Nan mekhany ta pemano sara zam

Waye AGHYAR che da DOZAKH jaba da
Za ba JANAT ta da "POKHTO" sara zam.

Pa qismat che sok jaregi bewaqoof day

Pa qismat che sok jaregi bewaqoof day
Qismatoona pa jara samegi na

Hagha kegi che ALLAH ye muqarar kri
Cha sa leekh vi pa taqdeer badlegi na

Ka sal kaala da cha umer shi kho bia hom
Pa jwandon bandey hisok maregi na

Che seerat bandey khaista na v REHMANA
Tash sorat bandey hesok kha kegi na.

Khkari che bewasa shom, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Poetry, Pashto Best Poetry, Pashto Poetry, Pashto Sad Poetry,


Khkari che bewasa shom, Har cha starge badali kre
Nan da Duniya khalgo pa Rekhtiya starge badali kre

Zaar da ameerai na sham, Pradi ba tawedal rana
Os che ghareeb shom khpal ASHNA starge badali kre.

Za yo Gul da Duniya bagh ta wom raghle, Pashto Heart Touching Poetry,


Za yo Gul da Duniya bagh ta wom raghle
Ma khandale qadre na wo khazan raghay

Da umeed pa keshtay sur wom tlam manzal ta
Che sahil ta warnizdi shom Tufan raghay

Ma de makh ta pa zwar zeer katali na wo
Che de makh pa kafan pat kro arman raghay.

Stari jwand la mi rangeen ghundi yo khob ra, Pashto Poetry,


Stari jwand la mi rangeen ghundi yo khob ra
Loya khudaya mala jwand da maintob ra

Da zwani mi pa khafgan khafgan teregi
Bya kho Raba mala marg da zalmitob ra

Da modo rase janan pase jaregim
Aqal wakhla bus day mala lewantob ra

Pa salgo salgo mi tola shpa teregi
Da zama shawgiro strgo la lag khob ra.

Laka Kishty che Pa Ghorzang Da Samandar Mata She

Laka Kishty che Pa Ghorzang Da Samandar Mata She
Zama Da Umar Tanda Sta Pa Yo Nazar Mata She

Kala Da Zan Sara Toba Krm che De Na Yadawom
Th che Mi Yaad Ke No Toba Zma Aksar Mata She

Dasi Nemgari De Wisal Wo che Hes Poha Na Shom
Laka Da Cha Na che Roja Pa Mazigar Mata She.

Sta lewani ba sta da kali da koso na oozi


Sta lewani ba sta da kali da koso na oozi
Kho khuday khabar sha ka sta yad ya da mazgho na oozi
Os la halaato yam tarale da ghurbat pa raso
Za ba darzam kho che me da rasay da khpo na oozi
Che sta mehfil ta rashe tor warbande pore na she
Laka jwande che sok da owr da sro lambo na oozi
Da khaar ghatan sarmayadar ya domra okhejave
Khkuli da kali da gharib da aghesto na oozi
Parhar zargy me pe pewand wakhli qarar okre
Da naaz khbare che da yar da shondosro na oozi
Khpala janana rasha ta warsara khula pa khula sha
Che khpal ATAL de da pardo khlqo da khlu ba oozi.

Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho,

Tum Mujhko Gurriya Kehte Ho
Theek He Kehte Ho
Khelnay Walay Sab Hathoan Ko
Mein Gurriya He Lagti Hun
Jo Pehna Do,Mujh Pe Sujayga
Mera Koi Rang Nahin
Jis Buchay K Hath Thuma Do
Meri Kisi Se Jang Nahin
Soati Jagti Aankhain Meri
Jub Chahay Beenaee Le Lo
Koook Bharo Aur Batain Sun Lo
Ya Meri Goyaaee Le Lo
Maang Bharo Senduur Lagao
Pyar Karo ,Aankhoan Mein Basao
Aur Phir Jub Dil Bhar Jaaiy Tau
Dil Se Utha K Taaq Pe Rakh Do
Tum Mujh Ko Gurriya Kehte Ho,
Theek He Kehtay Ho.

Faraz Poetry, Faraz Urdu Poetry, Ahmed Faraz Poetry, Urdu Peotry By ahmed Faraz, Urdu Peotry,

Tere Honay Par Bhi Khud Ko Tanha Samjhon
Mein Be-Wafa Hoon Ya Tujh Ko Be-Wfa Samjhon?

Teri Be-Rukhi Se Waqt To Guzar Gya Hai Mera
Yeh Khud'dari Hai Ya Teri Anaa Samjhon?

Tere Baad Kia Haal Hua Hai Mera
Yeh Teri Inayat Hai Ya Saza Samjhon?

Zakham Dete Ho Aur Marham Bhi Lgatay Ho Faraz
Yeh Teri Adat Hai Ya Ada Samjhon?.

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha.

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad

Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad.

Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa

Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa
Barbaad-E-Mohabbat Ki Dua Saath Liye Jaa

Ek Dil Tha Jo Pehele Hi Tujhe Sonp Diya Tha
Yeh Jaam Bhi Aye Jaan-E-Wafa Saath Liye Jaa

Tapti Hui Rahon Me Tujhe Aanch Na Ponchey
Dewane Ashkon Ki Ghata Saath Liye Jaa

Shamil Hai Mera Khoon-E-Jigar Teri Heena Mein
Yeh Kam Hai To Ab Khoon-E-Wafa Saath Liye Jaa

Hum Jurm-E-Mohabbat Ki Saza Payenge Tanha
Jo Tujh Se Hui Ho Woh Khata Saath Liye Jaa

Toota Huwa Iqrar-E-Wafa Saath Liye Jaa
Barbaad-E-Mohabbat Ki Dua Saath Liye Jaa.

Woh Poochhte Hain Hijr Mein Hai Iztiraab Kya

Woh Poochhte Hain Hijr Mein Hai Iztiraab Kya
Hairaan Hun Ke Dun Unhen Is Ka Jawaab Kya

Dil Aur Woh Bhi Sirf Mira Dardmand Dil
Teri Nigaah Ne Yeh Kiya Intekhaab Kya

Nazzaara E Jamaal Ki Ya,N Taab Hi Nahi
Ay Barq E Husn Chaahiye Tujh Ko Naqaab Kya

Wa'ada Bhi Kar Lo Wa'ada Pe Ya,N Aa Bhi Jaao Tum
Yeh Sab Sahi Tumhaari Nahi Ka Jawaab Kya.

Log Kyun Basa Ke Ujartay Hain Kabhi Socha Hai

Log Kyun Basa Ke Ujartay Hain Kabhi Socha Hai
Kis Liye Jaan Se Guzartay Hain Kabhi Socha Hai

Kaisy Palkon Ki Larazti Hui Mandeeron Par
Senkron Deep Chamaktay Hain Kabhi Socha Hai

Go Baharon Mein Chaman Hotay Hain Aabaad Magar
Phool pamali Se Dartay Hain Kabhi Socha Hai

Rang Chehray Ka Badal Jata Hai Pal Bhar K Liye
Log Jab Baat Badaltay Hain Kbhi Socha Hai

Narsai Se Nahi Marta Koi,Maan Liya
Dil Mein Aaray Se Jo Chalaty Hain Kbhi Socha Hai.

Mohabbaton K Nisaab Jesa

Mohabbaton K Nisaab Jesa
Woh Ik Chehra Keetab Jesa
Mahakta Hai Mere Qalb-o-Jaan Mein
Woh Shaks Khilty Gulab Jesa
Yaqeen Bhi Hai Woh Mery Dil Ka
Gumaan Bhi Hai Sharaab Jesa
Woh Bansuri Hai Jo Hont Rakhon
Jo Dekhon Chhoo K, Rubab Jesa.

Salook-e-Na rawa Ka Is Liyay Shekwa Nahi Karta,

Salook -e- Na rawa Ka Is Liyay Shekwa Nahi Karta
Kah Main Bhi Tu Kese Ke Baat Ke Parwa Nahi Karta

Bohat Hoshyaar Hoon Apni Laraee Aap Larta Hoon
Main Dil Ke Baat Mager Dewaar Per Likha Nahi Karta

Ager Per Jay Aadat Aap Apnay Sath Rahnay Ke
Yeh Sath Easa Hai Keh Insaan Ko Tanha Nahi Karta

Zameen Pairoon Say Kitne Bar Din Main Nekalte Hai
Main Easay Hadsoon Per Dil Mager Chota Nahi Karta

Tera Israar Sir Aankhoon Pay Tujh Ko Bhool Janay Ke
Main Koshish Kar Kay Dekhoon Ga Mager Wada Nahi Karta

Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Ghazal Poetry, New Urdu Ghazal Poetry,

Wussat-E-Chashm Ko Andoh-E-Basarat Likha
Main Nay Ik Wasl Ko Ik Hijr Ki Haalat Likha

Main Nay Likha Keh Saf-E-Dil Kabhi Khali Na Hui
Aur Kabhi Khali Hui Bhi To Malaamat Likha

Sirf Aawaz Kahan Tak Mujhay Jaari Rakhti
Main Nay Chup Saadh Li Sannatay Ko Aadat Likha

Yeh Safar Paaoon Hilanay Ka Nahin Aaankh Ka Hai
Main Nay Is Baab Main Ruknay Ko Masaafat Likha

Main Nay Perwaaz Likhi Hud-E-Falak Say Aagay
Aur Bay Baal-O-Pari Ko Bhi Nehaayat Likha

Main Nay Dasktak Ko Likha Kash-Makash-E-Bay Khabri
Jumbish-E-Parda Ko Aanay Ki Ijaazat Likha

Likhnay Walon Nay To Honay Ka Sabab Likha
Main Nay Honay Ko Na Honay Ki Wazahat Likha

Ashk Agar Sab Nay Likhay Main Nay Sitaray Likhay
Aajzi Sab Nay Likhi Main Nay Ibaadat Likha

Main Nay Khushboo Ko Likha Dastaras-E-Gumshudgi
Rung Ko Faasla Rakhnay Ki Riwaayat Likha

Zakhm Likhnay Kay Liye Main Nay Likhi Hai Ghaflat
Khoon Likhna Tha M agar Main Nay Haraarat Likha

Husn-E-Goyai Ko Likhna Tha, Likho Sargohsi
Shor Likhna Tha So Aazar-E-Sama’at Likha

Meray Sir Pay Kabhi Afsos Ka Saya Na Reha
Ranj Tha Jis Ki Jagah Main Nay Shikayat Likha

Main Nay Tabeer Ko Tehreer Main Aanay Na Diya
Khwab Likhtay Huay Mohtaj-E-Bashaarat Likha

Koi Aasaan Rafaqat Nahin Likhi Main Nay
Qurb Ko Jab Bhi Likha Juzw-E-Raqabat Likha

Itnay Daawon Say Guzar Ker Yeh Khayal Aata Hai
Azm Kya Tum Nay Kabhi Harf-E-Nadamat Likha.

Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay,

Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay
Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha HoShaheed-e-Raah-e-Ulfat
Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Soni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay…
Kay Jis Per Saaf Likha Ho…
Mohabbat Maot Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Laahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay
Muhabbat Arzoo-o-Hasrat-o-Arman-o-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insane Kay Rakha Hay Ye Jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY
Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon May Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay
Kay Ye Izhar Ka Jumla
Muhabbat Ka Yah Ik Katba
Phir Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Katba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e- Raah-e-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad.

Khalq Lagya de Lupato da para Swal Ghawari


Khalq Lagya de Lupato da para Swal Ghawari
Sada MALALA Me Pa Dase Wakht Ke Shaal Ghwari

Munga Pa Mando Zanla Zra Owchao Na Pohedu
Khkaar Da Tanzaro Da Naro Taruno Jaal Ghawari


Za Da Yawe Lahze Da Sabar Tawaan Nasham Laray
Da Swal Jawab La Me JANAN Rana Yo Kaal Ghwari

Rangen Ghazal Ao Pa Pokhto Ke Sa Asana Na Da
Da Bangro Shor Da Zargi Zor Da Zaney KHaal Ghwari

Munga Pa KHpala Da Khpal Las Pa Karkho Na Pohego
Yo Lewani Rata Las Onewo KHpal Paal Ghwari

Pa Kom Che Baley Di Lambey Da Nafratono Da Wakht
Yar Lewanay Rana Hagha Chenaar Ke Taal Ghwari.

Che Sta Pa Shundo Laa Gul Shawe Na V,


Che Sta Pa Shundo Laa Gul Shawe Na V
Har Yaw Arman Zama Arman Oganha

Zama Da Zra Da Bagh Ghazal Janana
Khu Daa Mazdoor De Khpal Janan Oganha

Manam Che Sta Ba Hasratuna V Deir
Bal Da De Daur Ba Rasmuna V Deir

Kho Grana Waya Za Ba Za Sa Krhama
Yaw Khwa Rasmuno Ta Be Wasa Yama

Bal Khwa Janana Taa Baylale Na Sham
Yaw Khwa Me Shor Da Sro Bangrho Yadegi

Bal Khwa Bangrhi Taa La Rawrhale Na Sham
Yw Khwa Tasweer Sta Da Muska Jorhawom

Bal Khwa Ghamuna Di Khandale Na Sham
Za Ba Dunya Ka Za Ba Taa Khpalawum

Bia Ta Khiery Ka Ka Dunya Khpalawum
Za Yw Mazdoor Khabare Speene Kawum

Klaka Wada Da Khpale Meeney Kawum
Ka Pa Mehnat V Sta Khanda Dilbara

Nu Zma Saa De Pa Gharmo Okheji
Daa Sta Sada Sada Pagal Lewane

Bas Ta Khanda La Pa Azgho Okheji
Garzi Pakhpala Ba Sartor Janana

Shi Logharhan De Pa Soor Oor Janana
Cherta Che Za Ao Cherta Ta Osegu

Bas Tasawur Da Khkuli Kor Janana
Da De Na Pas Ka Ta Gila Kawe No

Ta Da Mazdoor Janan Na Sa Ghwarhe Nor
Da Khpalo Weeno Na Khwala Jorhawi

Sta Da Haya Hghe Khkula Lapara
Taa La Sadar Na Lupatta Jorhawi

Bia Hm Arman Na Naa Umeida Na She
Sta Hasratuno Ta Loge Ba Shama

Daa Da Masdoor Janan Wada Oganha
Da Armanuno Yaw Sparle Ba Shama

Os Da Sadar Da Sar Makhale Sadar
Sharhay Na Shaal Ao Lupatta Oganha

Daa Da Mazdoor Janan Wada Oganha
Daa Da Mazdoor Janan Wada Oganha.

Israr Atal Poetry, Atal Poetry, Atal Heart Touching Poetry, Israr Atal New Pashto Peotry, Pashto Poetry By Israr Atal,


Hagha Da Baran Lewanay Shpa Rata La Yada Da
Jwanda Sta Salgay Salgay Qisa Rata La Yada Da

Ma Darna Da Khpale Mazdoray Pukhtana Kare Wa
Ya Da Kale Khana Sta Ghusa Rata La Yada Da

Sta Da Jafa Dard Me Hafiza Kamzore Kare Da
Bas Yawa Da Meene Kalema Rata La Yada Da

Charta Ye Raware Yama Har Sa Rana Heer De Kho
Yara Da Kabul Da Sind Chapa Rata La Yada Da

Ma Che Pa Warghawe Ke Gul Kare Pa Nakrezo O
Oye We Atala Sta Nama Rata La Yada Da.

Israr Atal New Poetry, Latest Pashto Poetry By Israr Atal, Atal Poetry, Atal Heart Touching Poetry,


Mung Che Bala Bala Khabaray Ye Pa Sar Orri Di
Hagha Da Zrroono Kali Tol Pa Yaw Nazar Orri Di

Hagha Che Khalak Warta Bal Zi Na Akhtaray Rawrri
Mung La Haghay Kali Na Kaday Pa Akhtar Orri Di

Hees Poha Na Sho Che Mo Gata Ka Tawan Kre De
Kho Mung Pa Khpalo Ogoo Khpal Marri Aksar Orri Di

Kala Che Hum Dalta Razam Pa Khushalai Razama
Che Zam No Stargay Me Pa Khpalo Okhko Thar Orri Di

Sok Dasay Hum Nashta Che Yaad Ye Kri Da Ghal Pa Nama
Janan Zamong Zrrona Sa Dasay Pa Hunar Orri Di

Os De Yaadona Da Hagha Seena K Patay Na Di
Da Wano Panrray We “Atala” Samandar Orri Di.

Israr Atal, Israr Atal Poetry, Atal Poetry, Pashto Poetry By Israr Atal, Israr Atal Heart Touching Poetry, Israr Atal New Poetry,


Zama Pa Sar Bande Ye Khpa Kekhawda Bara larro
Dase Pa Sar Sar Bande Tlo Tar Haagha Sara larro,

Os Ye Hechala Hom Sa Chal Da Kuzedo Na Warzi
Da Maikhane Da Myanza Raghey Tar Membara larro,

Pa Khpala Khawra Da Khpal Zan Tapos Kawaley Na Sho
Da Pukhtano Na Me Ghairat Dase Pa Nara larro,

Na Qamis Toor Shta Na Gulona Dre Salor Shta Pake
Hagha Da Meene Tool Khayist Da Pekhawara larro,

Zaan Rata Paak Khkari Ao Bal Ta Gunangar Wayo Mung
Zamong Da Jabe Na Asar Pa Dy Khabara larro,

Laa Khatma Na Da, Da Khalid Da Qurbano Silsila
Benawa Raghey, Benawa Da Yaar Da Dara larro.

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo Shamim
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya.

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi.

Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi

Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi.

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne
Apna deewana banaaya merey jaana tu ne

Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera
Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne

Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne
Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne

Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar
Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne

Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane
Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne

Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se
Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne

Teri talash mein jab gum hua koi banda
To us ko bandey se maula bana diya tu ne

Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta
Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne.

Jo hain aashna sir’re asraar ke

Jo hain aashna sir’re asraar ke
Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke

Andhera ujaala, nihaan aur ayaan
Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke

Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan
Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke

Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah
Miyan hum to baashinda hain paar ke

Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil
Malaayak jahaan se rahye haar ke

Nahin Qais-o-Farhaad sa main Niyaz
Ke hon gard-e-sahra–o-kohsaar ke.

Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye

Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye
Raaz ka maajra hai ye Raaz ko Raaz chaahiye

Hijr ki lazzaton mein gum hai saari kaaynaat
Mujhko to har sahar ke baad shaam-e-daraaz chaahiye

Kya merey zauq-e-bandagi, chaahiye koi aastaan
Kya meri aarzoo-e-deed jalwa taraaz chaahiye

Zauq-e-sujood kya karey,Naat-o-Durood kya karey
Maarfat-e-Habeeb ko qalb-e-gudaaz chaahiye

Yaani ke ho niyaaz-e-ishq, naghma-e-soz-o-saaz-e-ishq
Jo ho kisi ka raaz-e-ishq, ‘Raaz’ wo raaz chaahiye.

Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai

Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai

Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai

Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai

Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai

Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein
Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai

Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai.

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi
Merey dil ka aalam, sharabi sharabi

Nigahon ne dekhi, muhabbat ne maani
Teri bemisali, teri lajawaabi

Ye duz-deeda nazarein, ye raftaar-e-naazuk
Inheen ke badaulat hui hai kharabi

Khuda ke liye apni nazron ko roko
Tamanna bani ja rahi hai jawabi

Hai “Behzad” unki nigah-e-karam par
Meri na-muradi meri kaamayabi.

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota

Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota

Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota

Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota

Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota

Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota

Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota

Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai
Aisi basti se to weerana banaaya hota.

Dil hai mera maqaam-e-gham

Dil hai mera maqaam-e-gham, gham ka maqaam hai yahaan
Naa’la-e-subah hai yahaan, giriyaa-e-shaam hai yahaan

Ek tasawwur-e-haseen khilwat-e-dil mein hai makeen
Deeda-e-shauq ke liye deed haraam hai yahaan

Nikhat-e-noor-o-naar udhar, zulmat-o-soz-o-saaz idhar
Subah hi subah hai wahaan, shaam hi shaam hai yahaan

Sahan-e-chaman mein har jagah nash’sha sa failne lagaa
Aaj yah kaun mahalaqaa mast-e-khiraam hai yahaan

Mera alam’kada nahin rang-e-tarab se aashna
fasl-e-khijaan ho ya bahaar, maatam-e-aam hai yahaan

Unke liye suroor-e-naaz, mere liye gham-o-gudaaz
Gardish-e-chashm hai wahaan, gardish-e-jaam hai yahaan.

Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin

Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin
But parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin

Ishq mein poojta hoon qibla-o- kaaba apna
Ek pal dil ko mere uske bin aaraam nahin

Bulhawas paanw na rakhiyo kabhi is raah ke beech
Koocha-e-ishq hai ye raguzar-e-aam nahin

Haye re haye chali jaati hai yun fasl-e-bahaar
Kya karoon bas nahin apna wo sanam ram nahin

Aar kya hai tujhe duniya ki malaamat se Niyaz
Aashiqon mein tuu akelaa hi to badnaam nahin.

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka mazaa hum se poochhiye

Bhooley hain raftaa-raftaa unhein muddatton mein hum
Qishton mein Khud-kushi ka mazaa hum se poochhiye

Aghaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka mazaa hum se poochhiye

Jalte diyon mein jalte gharon jaise zau kahaan
Sarkaar raushni ka mazaa hum se poochhiye

Wo jaan hi gaye ki humein un se pyaar hai
Aankhon ki mukhbari ka mazaa hum se poochhiye

Hasne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka mazaa hum se poochhiye

Hum tauba kar ke mar gaye qabl-e-azal Khumaar
Tauheen-e-maikashi ka mazaa hum se poochhiye.

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono.

Abhi woh dard baqi hai

Abhi woh dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay main
Dobara dil basaanay main
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi woh dard baqi hai
Main kaisay nayee ulfat main
Apni zaat ko gum kar doon
Kay meray jism-o-wajdaan main
Abhi woh fard baqi hai
Abhi us shakhs ki mujh per
Nigah-e-Sard baqi hai
Abhi to Ishq kay rastoon ki
Mujh per gard baqi hai
Abhi Woh Dard Baqi Hai.

Meri Hayat Me tu Muhabbat Ke Baad Hai

Meri Hayat Me tu Muhabbat Ke Baad Hai
Tera Diya Har Ek Zakhm Muje Yaad Hai,

Ishq me Zinda Bach Gayi Main Bhi
Shayad Kisine Maangi Jaan ki Fariyaad Hai,

Mausam Dushman se Badle Ka Aagaya Hai
Suna Ke Ghar Aaj Kal Unke Bade Abaad Hai,

Libaas Ki Tarah Maashooq Badalny Lagi
Khayal Tere Bhi Beinteha Azaad Hai,

Poocho Na Sabab Aashiq-E-Mizaj Ka
Meri Zaat Kal Bhi Barbaad Thi Aaj Bhi Barbaad Hai.

Suno Tum Maan Jao Na

Suno Tum Maan Jao Na
Hamain Ab Yun Satao Na

Tumharay Bin Hamain Jena
Gawara Ab Nahi Hota,

Tumhain Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota,

Hamain Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban Ke Rehna Hai

Mujhe Dukh Hijar Ka Janam
Nahi Ab Or Sehna Hai,

Kaee Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na,

Tumhain Meri Kasam Janaa
Tum Meray Sang Chal Do Na,

Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na.

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehte Kehtey, Allama iqbal Poetry, Iqbal Poetry, Urdu Poetry By Allama iqbal,


Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehte Kehtey
Hichkicha Gya Mein Khud Ko Muslman Kehte Kehty
Ye Baat Nahi K Mujh Ko Os Per Yaqeen Nahi
Bas Dar Gya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehte Kehty
Toufeeq Na Hoi Mujhy Ek Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Hoa Moazzan Azan Kehte Kehtey
Ksi Kafir Ne Jo Pocha K Ye Kya He Mahina
Sharam Se Pani Hoa Mein Ramzan Kehte Kehtey
Mere Kamry Mein Gard Se Ati Kitaab Ka Jo Pocha
Mein Garr Gya Zameen Mein Quran Kehte Kehtey
Ye Sun K Chup Saadh Li IQBAL Us Ne
Youn Laga Jaisy Ruk Gya Ho Mujhy Hewaan Kehte Kehty.

Dasht-e-hijraan mein na saaya na sada teray baad, Urdu Heart Touching Poetry,

Dasht-e-hijraan mein na saaya na sada teray baad
Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad
Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad
Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad
Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad
Dil mein taaseer ki khahish na dua teray baad
Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad
Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad
Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad
Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad
Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad
Perahan apna na salamat na qaba teray baad
Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad
Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad
Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad
Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad
Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad
Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad
Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad
Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad
Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad
Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua
Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad
Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad
Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad
Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen
Aik mehshar meray andar se utha teray baad
Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri
Main ne matti pe tera naam likha teray baad
Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta
Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad
Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna
Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad
Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye
Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad
Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq
Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad
Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena
Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad
Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab
Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad
Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain
Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad.

Best Heart touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Love Poetry, Heart Touching Poetry, Romantic Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Aawaara Hai Galiyon Mein Main Aur Meri Tanhayee
Jaayen To Kahan Jaayen Har Mod Pe Ruswaayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee
Ye Phool Se Chehre Hain Hanste Huye Guldaste
Koi Bhee Nahin Apna Begaane Hain Sab Raste
Raahen Bhee Tamashyee Raahen Bhee Tamashaee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee
Armaan Sulagte Hain Seene Mein Chitha Jaise
Qaatil Nazar Aati Hai Duniya Ke Hawa Jaise
Roti Hai Mere Dil Par Bajti Huyee Shehnayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee
Aakaash Ke Maathe Par Taaron Ka Charagam Hai
Pehloo Mein Magar Mere Zakhmon Ka Gulistaan Hai
Aankhon Se Lahoo Tapka Daaman Mein Bahaar Aayee
Main Aur Meri Tanhaayee Main Aur Meri Tanhaayee.

Sad Urdu Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Sad Poetry,

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon
Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon.

Muhabbat harf-e-awwal hai


Muhabbat harf-e-awwal hai
Muhabbat harf-e-aakhir hai
yea hai ik aisa jazba jo
zahoor apney mai maahir hai
zamanay mai udaasi bhi
muhabbat baant sakti hai
kisi k dil se nafrat ko
muhabbat chaant saktii hai
muhabbat ba-wafa bhi hai
muhabbat dil’rubaa bhi hai
muhabbat kernay walon ko
muhabbat sey gilaa bhi hai
muhabbat mai jo hotey hain
gillay, wo sab muhababt hai
lagan , chahat , wafa’daari
yea saray dhab muhababt hain
muhabbat aaan jaisi hai
muhabbat maaan jaisi hai
muhabbat phool jaisi hai
muhabbat jaan jaisi hai
muhabbat jaan leti hai
muhabbat jaan deti hai
muhabbat sarfroshi ko
hamesha maan leti hai
muhabbat aik tabassum hai
jo pholon main bhi khilta hai
kabhi titlii k pankhon mai
kabhi mamtaa mai milta hai
muhabbat saans leti hai
muhabbat dekh saktii hai
muhabbat saath chalti hai
muhabbat rahh badalti hai
kisi ki shaadmaani ko
muhabbat soch saktii hai
yea saari zindagaani k
ghamon ko nooch saktii hai
muhabbat ik nageena hai
yea jeenay ka qreena hai
kabhi jo doob na payee
muhabbat wo safeena hai
jahaan k sab mazaahib main
muhababt ka taqaddas hai
yehi insaan k jazboon mai
ataa’a sab se muqaddas hai
muhababt ka yea jazba ab
baraa pamaal hota hai
yea jis k dil mai bas jayee
bohat behaal hota hai
muhabbat kal b hotii thi
muhabbat aaj bhi hotii hai
magar apney muqaddar per
muhababt aaj bhi rotii hai.

Teray gham se hai meri her khushi mein waqaar sa

Teray gham se hai meri her khushi mein waqaar sa
Meray haal pe hain teray karam teray baad bhi
Baray muztarib meray raastay teray bina
Baray pur-sukoon meray qadam teray baad bhi,

Teray saath thee meri her khushi teri muntazir
Teri muntazir meri chashm-e-num teray baad bhi
Teray saath thee meri dastaras mein jo raushni
Faqat aik pal kabhi subha-dum teray baad bhi,

Tujhay jaan-e-gham jo kaha kabhi to ghalat kaha
Meri zindagi ke javaa.n hain gham teray baad bhi
Tujhay paas-e-ehd-e-vafa raha mere saath kab
Mujhay jaa.n se barh ker teray bharam teray baad bhi,

Meray baad kitnay he roop tu nay badal liye
Main vahi hoon ab bhi teri qasam teray baad bhi
Tu kisi ke qalb-e-aarzu mein to dhal gayi
Main na ho saka kabhi khud mein gum teray baad bhi,

Teri aahaton ka gudaaz tha mera humsafar
Yehi ik gumaa.n mera hum-qadam teray baad bhi
Tu chali gayi sabhi qehqahay samait ker
Meray paas hai mera zarf-e-gham teray baad bhi.

Mujhay ek baat kehni thi,

Mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha
Ke meri zindagi ho tum, tumhain hi sochta hon main
Buhat masrof rehta hon, buhat say kaam hain mujh ko
Magar tum say nahin ghafil,tumhain hi sochta hon main
Buhat say log miltay thay, magar jab say tumhain dekha
Na janay kya hua mujh ko, tumhain hi soochta hoon main
Mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta
Meri dunya ho tum hi tum, tumhain hi soochta hoon main
Nigahoon main basi ho tum, khayaloon main samai ho
Sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hoon main
Buhat mushkil hai ye jeena, tumharay bin mera rehna
Kay meri saans main ho tum, tumhain hi sochta hon main
Kabhi tanhai main betho, agar tanhai main tum ho
Tou itna yaad kar lena, tumhain hi soochta hoon main.

Es baat say hum ko kia mathlab,

Es baat say hum ko kia mathlab, ye kaysay ho ye kionkar ho
Ik bheek kay 2no kaasay hain, ik pyas kay 2no pyasay hain
Hum khathe hain, tum baadal ho, hum nadiya hain, thum sagar ho
Ye dil hay keh jalthay seenay main, ik dard ka phorha ulharh sa
Na gupth rahay, na phoot bahay, koye marham ho koye nishthar ho
Hum saanj samay ki chaya hain,thum charhte raath ki chadar ma'an
Hum jathay hain thum ayay ho, phir mail ki soorath kionkar ho
Ab husn ka ruthba aali hay, abb husn say sehra khali hay
Chal basthe main banjara ban, chal nagri main saudagar ho
abb Insha g ko bulana kia, abb pyar kay deep jalana kia
jab dhoop aur chaya aik say hoon, jab din aur raath bara bar ho.

Ajj Phir Se Teray Diyaar Mai Hoon, Mohsin Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry,

Ajj Phir Se Teray Diyaar Mai Hoon
Yani Phir Teray Ikhtiyaar Mai Hoon
Us Kahani Ka Yeh Howa Anjaam
Ajj Mai Dasht-e-Be-Kinaar Mai Hoon
Koi Rasta Dekhaye Deta Nahi
Dhundh Kaisi Hai Kis Ghubaar Mai Hoon
Ajj Kal Kis Pay Hai Nazer-e-Karam
Mai Tu Waisay Bhi Kis Shumaar Mai Hoon
Hosh Kaisay Rahay Ga Dil Ko Tera
Mai Teray Dard Kay Khumaar Mai Hoon
Ek Dunyaa Hai Meray Dar Pay Mohsin
Orr Mai Teray Intezaar Mai Hoon.

Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar, Nasir Kazmi, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

 
Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
- See more at: http://poetrysync.blogspot.com/search/label/Best%20Ghazals#sthash.6y0Nt46J.dpuf
Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
- See more at: http://poetrysync.blogspot.com/search/label/Best%20Ghazals#sthash.6y0Nt46J.dpuf
Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
- See more at: http://poetrysync.blogspot.com/search/label/Best%20Ghazals#sthash.6y0Nt46J.dpuf
Gaey Dinon Ka Suraagh Le Kar
Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Woh,

Ajeeb Manhoos Ajnabi Tha
Mujhe To Heran Kar Gaya Woh,

Bass Aik Moti Si Chubhan Dikha Kar
Bass Aik Meethi Si Dhunn Suna Kar,

Sitara-e-Shaam Bann Ke Aaya
Berang Khaab-o-Sehr Gaya Woh,

Khushi Ki Rutt Ho Ya Gham Ke Mousam
Nazar Usy Dhoondti Hai Har Damm,

Woh Boo-e-Gull Tha Ya Naghma-e-Jaan
Mery To Dil Me Utar Gaya Woh,

Na Abb Woh Yaadon Ka Charta Daraya
Na Fursaton Ki Udaas Barkhaa,
- See more at: http://poetrysync.blogspot.com/search/label/Best%20Ghazals#sthash.6y0Nt46J.dpuf

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogi, Urdu Ghazal, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, Sad Love Poetry, Sad Poetry, Sadest Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,


Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogi
Aik qissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sada Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Mer Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rula Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Meri Tasheer Na Kar Ab Tu Jala Deh Mujh Ko

Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aise Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,DUAA Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhula Deh Mujh Ko.

Wo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin ki, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Wo bhii kyaa log the aasaan thii raahe.n jin kii
Band aa.Nkhe.n kiye ik simt chale jaate the
Aql-o-dil Khvaab-o-haqiiqat kii na uljhan na Khalish
MuKhtalif jalve nigaaho.n ko na bahalaate the

Ishq saadaa bhii thaa beKhud bhii junuu.N_peshaa bhii
Husn ko apanii adaao.n pe hijaab aataa thaa
Phuul khilate the to phuulo.n me.n nashaa hotaa thaa
Raat Dhalatii thii to shiisho.n pe shabaab aataa thaa

Chaandanii kaif_asar ruuh_afzaa hotii thii
Abr aataa thaa to bad_mast bhii ho jaate the
Din me.n shorish bhii huaa karatii thii hangaame bhii
Raat kii god me.n muu.Nh Dhaa.Np ke so jaate the.

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Tere jaisa mera bhi haal tha na sukoon tha na qaraar tha
Yehi umr thee mere hamnasheen ke kisi se mujh ko bhi pyar tha

Mai samajh raha hoon teri kasak, tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi gham ka mai bhi shikaar tha

Faqat aik dhun thee ke raat din usi khaabzaar mai gum rahen
Wo saraapa aisa suroor tha wo khumar aisa khumar tha

Kabhi lamhe bhar ki bhi guftgoo meri us ke saath na ho saki
Mujhe fursaten nahee mil sakin wo hawa ke rath pe sawar tha

Hum ajeeb tarz ke log thay ke hamare aur bhi rog thay
Mai khizan mai uska tha muntazar use intizar-e-bahaar tha

Use padh ke tum na samjh sake ke meri kitaab ke roop mai
Koi qarz tha kai saal ka kai ratjagon ka udhar tha.

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Romantic Poetry,

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tu naya ho gaya koi

wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya howa k khafa ho gaya koi

meri nazar nay us ko khad-o khaal dey deye
zehra jamaal-e sheh'r-e saba ho gaya koi

mehfil main tha tu chaand ki sourat sabeh tha
tanha mila tu rung-e hina ho gaya koi

is khush ada guraiz k qurbaan jaeye
mujh ko salam kar k hawa ho gaya koi

ilzaam hum pe aya hum musta'id na they
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi

mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sad kholoos
yoon bhi bara tha aur bara ho gaya ko.

Pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaG kisii ne jalaa diyaa, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry,


Pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaG kisii ne jalaa diyaa
Use aah daaman-e-baad ne sare shaam hii se bujhaa diyaa

Mujhe dafan karnaa tuu jis ghari to ye us se kahanaa ki ai parii
Wo jo teraa aashiq-e-zaar thaa tah-e-Khaak use dabaa diyaa

Dam-e-Gusl se mere peshtar use ham_damo.n ne ye soch kar
Kahii.n jaave us kaa na dil dahal merii laash par se haTaa diyaa

Merii aa.Nkh jhapakii thii ek pal mere dil ne chaahaa ki uTh ke chal
Dil-e-beqaraar ne o miyaa.N vahii.n chuTakii leke jagaa diyaa

Zaraa un kii shoKhii to dekhiye liye zulf-e-Kham_shudaa haath me.n
Mere piichhe aaye dabe-dabe mujhe saa.Np kah ke Daraa diyaa

Mai.n ne dil diyaa mai.n ne jaa.N dii magar aah! tuune na qadr kii
Kisii baat ko jo kahaa kabhii use chuTakiyo.n me.n u.Daa diyaa.

Sar sey paao tak woh Ghulaboon ka shajar lagta hay

Sar sey paao tak woh Ghulaboon ka shajar lagta hay
Bawazoo ho k bi chooney sey dar lagta hay

Main tery sath sitaroon sey guzar sakta hun
Kitnaa aasaan Muhabat ka safar lagta hay

Mujh mein rehta hay woh dushmaan jaan mera
Khud sey tanhaai mein miltey huwey bi daar lagta hay

Buuth bi rakhey hain Namazain bi aada hotin hain
Dil mera Dil nehi ALLAH ka ghar lagta hay

Zindgi tu ney mujhy Qabar sey kam di hay zameen
Paoo phailaun toh diwar ko sar lagta hay.

Kisi ki aas ban kar phir usse tanha nahi karna

Kisi ki aas ban kar phir usse tanha nahi karna
Bhalay kuch bi pare karna magar aisa nahi karna

Khabar kia kis ghari wo raakh kar dale tere sapne
Yun hi jalte shararon se kabhi khela nahi karna

Na ho aisa ke yadein Rooh ka Sartan ban jayen
Kabhi had se ziyaada tum usse socha nahi karna

Mohabat mian shikayat ka kahan dastoor hota hai
Gila kar ke mohabat ko kabi ruswa nahi karna

Wafain Dar haqeeqat be panah Anmol hoti hai
Kabi apni wafaon ka sila maanga nahi kar

Kahi aisa na ho wo apni manzil ka nishaan kho de
Kisi ka sath raste mian kabi chora nahi karna.

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai


Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai.

SUNO AIK BAAT KEHNI HAI

SUNO AIK BAAT KEHNI HAI
ZARA TUM SOCH KER DAIKHO
KOI HO JO APNAE
TUMHAIN ROOH SE APNI
KASH DOST K AISA HO
KOI AYE JO LAY JAE
MUJHAY PHOLOUN K ANGAN MAI
KISI DOR SUMANDAR PAR
HUM SHAMOUN KO GUZARAIN
RAAT KI BAHOUN MAI
MAI PAYAL JO CHANKAHOUN
FIZAEN MACHAL SI JAENGI
NIGAHAIN BADAL SI JAENGI
MAI AKSAR KHAWAB SAJATI HOON
PHIR RONAY B LAGTI HOON
JAB MUJHKO YAAD ATI HAI
BEWFAI DOSTOUN KI JAAN
KIA MUMKIN HAI K AYEGA
KOI IK SHAKS B AISA
JO MUJHKO KHOOB HASAYE GA
MERA DAMAN SAMBHALAY GA
MERAY SATH ROYE GA
MERAY KHAWAB SAJAYEGA
KIA MUMKIN HAI K AYEGA
KOI IK SHAKS B AISA.

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum

Yeh Jo Kahnder Sa Hey Dikh Raha, Kal Tha Phuloon Ka Piyara Chaman
Kal Thay Saya Jo Dujoon Ka Dekho Aaj Khud Hee Huway Bay Watan

Suno Masoom Cheekhain Suno, Keh Rahi Hain Fasana Yeh Sab
Aami, Abba, Behna Na Bhaee, Hum Ko Loata Meray Piyaray RAB

Aaj Yeh Saab Hain Muskil Mein Dekho, Kal Tumhari Hee Bari Na Hoo
Kiyoon Ho Pharay Huay Apna Chehra Jisay Mitti Tumhari Na Hoo

Chalo Nibhaeen Fariza Yeh Apna, Dain Sahara Apnoon Ko Apna
Iss Se Pehlay Yeh Gulshan Hamara Ban Na Jayay Bhiyanak Sa Sapna

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum.

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai
Jidher Jatay Hain Ya Badal, Udher Jaoun To Behter Hai

Ye Dil Kehta Hai, Teray Sheher Mai Kuch Din Theher Jaoun
Magar Halaat Kehtay Hain, K Ghar Jaoun To Behter Hai

Diloon Mai Farq Aain Gay, Taaluq Too Jayain Gay
Jo Dekha Jo Suna, Us Say Ab Mukar Jaoun To Behtar Hai

Yahaan Hai Kon Mera? Jo Mujhy Samjhay Ga
Main Koshish Kar K Ab Khud He, Badal Jaoun To Behter Hai.

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha
Khabar Nahi Ke Sooruj Kidhar Se Nikla Tha

Ye Kon Phir Se Mujhy Raston Main Chor Gaya
Abhi Abhi To Azaab-E-Safar Se Nikla Nikla Tha

Ye Teer Dil Main Magar Be Sabab Nahi Utra
Koi To Hurf Lub-E-Charagar Se Nikla Tha

Men Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
Ke Dil Ka Zahar Meri Chusm-E-Tar Se Nikla Tha

Wo Qais Ab Jisay Majnoo Pokarty Hen Log
Meri Terha Koi Deewana Ghar Se Nikla Tha.

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha


Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha
Mein Aap, Woh, Janab Se Aagay Nahi Barha

Muddat Hui Kitab-e-Mohabbat Shurru Kiye
Lekin Mein Pehle Baab Se Aagay Nahi Barha

Lambi Musawatein hein Magar Iss Sawar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahi Barha

Tool-e-Kalam Kay Liye Mein Ne Kiye Sawal
Woh Mukhtassar Jawab Se Aagay nahi Barha

Rukhsaar Ka Pata Nahi Aankhen To Khob hein
Darshan Abhi Naqaab Se Agay Nahi Barha

Woh Lazat-e-Gunnah Se Mehroom Hee Raha
Jo Khuwahish-e-Sawab Se Aagay Nahi Barha.

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko
Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Os Ko

Jany Kis Ghum Ko Chupany Ki Tamana Hy Osy
Aj Har Bat Pr Hanste Howy Dekha Os Ko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Sy Chuwa Krta Tha
Hum Ne Pholon Ko Maslte Howy Dekha Os Ko

Najny Wo Duaon Mein Mangta Hy Kisy
Hath Uthaty Hi Sisakty Howy Dekha Os Ko

Phir Hath Dua K Liye Uthaay Hum Ne
Jb Muqdar Sy Uljhty Howy Dekha Os Ko.

Insha Ji! Uththo ! Ab Kuuch Karo, Is Sha’hr Men Jii Kaa Lagaanaa Kyaa


Insha Ji! Uththo ! Ab Kuuch Karo, Is Sha’hr Men Jii Kaa Lagaanaa Kyaa
Vahshii Ko Sukuun Se Kyaa Matlab, Jogii Kaa Nagar Men Thikaanaa Kyaa

Is Dil Ke Dariidaa-Daaman Ko Dekho To Sahii, Socho To Sahii
Jis Jholii Men Sau Chhed Hue Us Jholii Ko Phailaanaa Kyaa

Shab Biitii, Chaand Bhii Duub Gayaa, Zanjiir Parii Darvaaze Men
Kyun Der Gaye Ghar Aaye Ho, Sajnii Se Karoge Bahaanaa Kyaa

Us Husn Ke Sachche Motii Ko Ham Dekh Saken, Par Chhuu Na Saken
Jise Dekh Saken Par Chhuu Na Saken Vo Daulat Kyaa Vo Khazaanaa Kyaa

Us Ko Bhii Jalaa Dukhte Hue Man, Ik Sholaa Laal Bhabhuukaa Ban
Yun Aansuu Ban Beh Jaanaa Kyaa, Yun Maatii Men Mil Jaanaa Kyaa

Jab Sha’hr Ke Log Na Rasta Dekhen, Kyun Ban Men Na Jaa Vishraam Kare
Diivaanon Kii Sii Na Baat Kare, To Aur Kare Diivaanaa Kyaa.

Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa Karte

Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa Karte
Shaam Ke Vaqt Safar Kyaa Karte

Terii Masruufiyaten Jaante The
Apne Aane Kii Khabar Kyaa Karte

Jab Sitaare Hii Nahiin Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-O-Qamar Kyaa Karte

Vo Musaafir Hii Khulii Dhuup Kaa Thaa
Saaye Phailaa Ke Shajar Kyaa Karte

Khaak Hii Avval-O-Aakhir Thahrii
Kar Ke Zarre Ko Gauhar Kyaa Karte

Raaye Pehle Se Hii Banaa Lii Tuune
Dil Men Ab Ham Tere Ghar Kyaa Karte

Ishq Ne Saare Saliiqe Bakhshe
Husn Se Kasb-E-Hunar Kyaa Karte.

Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Chalo Kuch Dair Hastay Hain
Muhabbat Par Inayat Par
K B-Bunyad Baten Hain
Sabhi Rishtay Sabhi Natay
Zarurat Ki Hain Eejaaden
Kahin Koi Nahi Merta Ksi K Wastay Jana
K Sub Hai Phair Lafzoon Ka
Hai Sara Khail Herfon Ka
Nahi Hai Mehboob Koi B
Sabhi Jumlay Say Kastay Hain
Chalo Kuch Dair Hastay Hain
Usi Ko Yaad Kertay Hian
Jisay Hum Zeest Kehtay Hain
K Lena Sans Bin Jis K
Humain Ik Jurm Lagta Tha
Bala Ka Taiz Lagta Tha
Jo Saya Bun K Rehta Tha
Juda Ab Us K Rastay Hain
Chalo Kuch Dair Hastay Hain.

Gulab Rut Main Haseen chehro Hamain btao Udas kyn ho

Gulab Rut Main Haseen chehro Hamain btao Udas kyn ho
Dilon pe Beeti sari kahaniyan Sub sunao udas kyun ho

Jo Ranjishain Dil main pal rahi hain Munafqat main jo Dhal rahi hain
Bhula k shikwe,Mita k doori Galay lgao udas kyun ho

Kitab-e-Dil k tamam safhon p hum ne likha hai lafz muhabbat
Hamain hamari wafa k agay Saza sunao udas kyn ho

Farreb khana bhi mashghala hai Fareeb dena bhi mashghala hai
To dil k mlutne p kaisa maatam  Khushi manao Udas kyn ho.

Kisi Kay Husn-E-Nazar Ki Nazeer Hoon Main Bhi


Kisi Kay Husn-E-Nazar Ki Nazeer Hoon Main Bhi
Nigah-E-Ahl-E-Jahan Mein Haqeer Hoon Mein Bhi

Agar Too Haqa-E-Shaam-O-Sahar Mein Qaid Raha
To Zindgi Kay Qafas Mein Aseer Hoon Mein Bhi

Meray Wujood Mein Jalti Iss Aag Parr Matt Jaa
Agar Too Door Rahay,Zemhareer Hoon Mein Bhi

Teray Wujood Say Munkir Jahan Mein Thi, Main Hi
Teri Nigaah Ki Abb To Aseer Hoon Main Bhi

Meray Li'ay Bhi Rahain Abb Faza'ein Chashm Baraah
Saba Kay Sath Khizan Ki Safeer Hoon Main Bhi

Wafa To Sath Nibhanay Ka Ik Bahana Hai
Riwaj Ki Teri Soorat,Aseer Hoon Main Bhi

Main Sirf Jism Nahin, Aik Zinda Rooh Bhi Hoon
Khuda Kay Baad,Samee-O-Baseer Hoon Main Bhi.

Ya rabb! Labb-E-Khamosh Ko Aisa Kamal Day


Ya rabb! Labb-E-Khamosh Ko Aisa Kamal Day
Jo Guftgoo Kay Saray Hi Lehjay Ujal Day

Soaz-E-Duroon-E-Qalb Ko Itna Jamal Day
Jo Mujh Ko Aik Shamma Kay Qalib Mein Dhal Day

Woh Khwab Marhamat Ho Ke Aankhein Chmak Uthein

Woh Sarr Khushi Ata Ho Ke Dunya Misal Day

Woh Harf Likh Sakoon Ke Banay Harf-E-Purr Asar
Ik Kaam Karr Sakoon Too Mujhay Garr Majal Day

Main Apni Sha'eyri Kay Li'ay Aa'eina Banoon
Rahat Nahin,Too Mujh Ko Baqa'ay Malal Day

Teray Hi Aastan Pe Jhuki Ho Jabeen-E-Dill
Apnay Hi Darr Kay Wastay Khoo'ay Sawal Day.

Jub Se Utre Hen Azab Ankhon Mai

Jub Se Utre Hen Azab Ankhon Mai
Tub Se Jalne Lage Hen Khuwab Ankhon Main

Wajah E Barbadi Pochne Walo Dekh Lo Tum Bhi
Hum Lie Phirte Hen Jawab Ankhon Main

Na Gila Hy Kisi Se Na Hi Shikwa Muqaddar Se
Hum Tu Fana Huwe Hen In Nayab Ankhon Se

Wo Baat Humari Na Samajh Paen Tu Gila Kesa
Quful Hy Zaban Pe Our Hijaab Ankhon Main

Zikar E Umeed Hum Laen Tu Kahan Se Aey Dost
Bhar Die Hen Us Ne Kante Gulab Ankhon Main

Jhuka Hy Humara Sir Tu Jhuka Hi Rehne Do
Uthi Jo Nazar Tu Pao Gaey Sabhi Ataab Ankhon Main.

Ik Pall Ko,Na Raat So Saki Main

Ik Pall Ko,Na Raat So Saki Main
Uss Khwab Ki Aas Mein Rahi Main

Jab Dheyan Mein Aa Gaya Woh Chehra
Sonay Kay Bajaey, Roa Pari Main

Bass Aik Hi Yaad Mein Garifta
Dil Thaam Kar Apna Reh Gaei Main

Bass Aik Hi Ranj Say Shikasta
Kion Uss Say Bhala Juda Huwi Main

Bass Aik Khayal Dil Pay Taari
Woh Jagta,Sath Jagti Main

Hota Woh Agar Qareeb Meray
Phir Chhoo Kay Bhi Uss Ko Dekhti Main

Khush Baash Rahay,Sada Jiey Woh
Par Uss Say Bichhar Kay Marr Gaei Main

Zahir Mein To Sans Lay Rahi Thi
Zinda Thi Bagher-E-Zindgi Main

Chandi Say Badan Pay Tha Andhera
Uss Chand Say Kitni Door Thi Main.

Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat

Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat
Ab Khuli Ham Pay Teri Chashm-E-Mdaraat Ki Baat

Ham K Jis Baat Pay Tajj Aay Thay Saari Dunya
Teray Nazdeek Hamesha Woh Rahi Baat Ki Baat

Teray Altaaf Ki Barish Say Shraboor Tha Dil
Yaad Parti Hai Yeh Guzri Hoei Barsaat Ki Baat

Aankh Mein Jesay Kisi Khwab Nagar Ka Manzar
Hoant Par Us Kay Kisi Shehr-E-Tilismaat Ki Baat

Khud Framoshi Ki Ummid Pay Aa Bethay Thay
Chhaer Di Too Nay Bhi Aakhir,Wohi Halaat Ki Baat

Jesay Ik Umr Pay Chhaei Ho Syahi Iss Ki
Yeh Gham-E-Hijr Hai Kehnay Ko To Ik Raat Ki Baat.

Ik Hasrat-E-Aab Ho Gaei Hoon

Ik Hasrat-E-Aab Ho Gaei Hoon
Main Khud Hi Saraab Ho Gaei Hoon

Likhi Hoon Ik Ajnabi Zaban Mein
Honay Ko,Kitaab Ho Gaei Hoon

Ik Khwab Mein Jii Rahi Thi Ab Tak
So Khwab Hi Khwab Ho Gaei Hoon

Tha Kitna Saja Huwa Yeh Chehra
Aur Kesi Kharab Ho Gaei Hoon

Ginta Jo Raha Woh Mujhh Ko Har Pal
Be Hadd-O-Hisab Ho Gaei Hoon

Gohar Thi Kabhi Dil-E-Sadaf Mein
Ab Naqsh Br Aab Ho Gaei Hoon

Karti Thi Sawal Zindgi Say
Ab Apna Jawab Ho Gaei Hoon

Too Bethh Kinar-E-Ishq, Main To
Sohni Ka Chanab Ho Gaei Hoon

Ab Toar Liya Chaman Say Rishta
Jangal Ka Gulaab Ho Gaei Hoon.

Kanton Mein Gulab Dekhti Hoon

Kanton Mein Gulab Dekhti Hoon
Main Aaj Bhi Khwab Dekhti Hoon

Ik Ranjish-E-Be Sabab Kay Ba'is
Khana Hi Kharab Dekhti Hoon

Aankhon Mein Dhuwan Sa Bhar Raha Hai
Manzil Ko Sarab Dekhti Hoon

Ik Harf-E-Ghalat Huwi Hoon Jiss Mein,
Hasti Ki Kitab Dekhti Hoon

Aankhein Jo Khulin,To Khud Pay Khultay
Tanhaei Ka Baab Dekhti Hoon.

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse

Bazm-E-Shahi Mein Gareebon Ka Guzar, Kya Maani?
Sabt Jis Raah Pe Ho Satavat-E-Shaahi Ke Nishaan
Uss Pe Ulfat Bhari Rooho Ka Safar Kya Maani?

Mery Mehboob Pas-E-Parde-E-Tash Heer-E-Wafa
Toone Satavet Ke Nishano Ko Too Dekha Hota
Murda Shahon Ke Maqabir Se Behalne Waaly
Apne Taarek Makanon Ko Too Dekha Hota

Anginat Logon Ne Duniya Mein Mohabbat Ki Hai
Kaun Kehta Hai Ke Sadiq Na They Jazbe Unke
Lekin Unke Liye Tash Heer Ka Samaan Nahin
Kyon K Woh Log Bhi Apni Hi Tarah Muflis They

Yeh Imarat-O-Maqabir, Yeh Faseele, Yeh Hisaar
Mutal-Kul-Hukm Shehenshahon Ki Azmat Ke Sutoon
Daaman-E-Dehar Pe Us Rang Ki Gulkari Hai
Jisme Shaamil Hai Tere Aur Mere Ajdaad Ka Khoon

Mery Mehboob! Unhe Bhi Too Mohabbat Hogi
Jinki Sannai Ne Baqshi Hai Isse Shakl-E-Jameel
Unke Pyarron Ke Maqabir Rahe Be-Naam-O-Namood
Aaj Tak Un Pe Jalai Na Kisi Ne Kindeel

Yeh Chamanzaar, Yeh Jamna Ka Kinara, Yeh Mahal
Yeh Munakkash Dar-O-Deewar, Yeh Mehraab, Yeh Taaq
Eik Shehenshah Ne Daulat Ka Sahara Lekar
Hum Ghareebon Ke Mohabbat Ka Udaya Hai Mazak

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse.

Aj Tery Liye Eik Mazeer E Ulfat Hi Sahi

Aj Tery Liye Eik Mazeer E Ulfat Hi Sahi
Tujhko Iss Vaadi-E-Rangeen Se Aqeedat Hi Sahi

Yeh Gham Nahin Ke Tera Gham Saha Nahin Jata
Sitam Yeh Hai Ke Kisi Say Kaha Nahin Jata

Jo Shakhs Sail-E-Zamana Ka Rukh Badalta Raha
Bahao Pr Bhi Ab Us Say Baha Nahin Jata

Hamesha Tark-E-Muhabbat Ka Azm Krtay Hain
Hamesha Hm Say Hi Qaaym Raha Nahin Jata

Ajab Hai Kya Tujhay Puhncha Nahin Agar Zr-E-Khwab
K Qatilon Ko Kabhi Khoonbaha Nahin Jata

Sda Say Khud Pe Raha Ikhtiar Lekin Aaj
Woh Bekali Hai K Hm Say Raha Nahin Jata.

Dekha Nahin Iss Misal Ka Chand

Dekha Nahin Iss Misal Ka Chand
Sehra Mein Laga Kamal Ka Chand

Reh Reh Kay Ufuq Say Jhankta Hai
Sharmaya Huwa, Wisal Ka Chand

Mshriq Say Ajab Hawa Chali Thi
Gul Honay Laga Shimal Ka Chand

Lao Day Uthay Pichhlay Saal Kay Dukh
Nikla Hai Jo Aglay Saal Ka Chand

Bujhti Hai Teri Nigah Ya Phir
Dhalta Hai Meray Jamal Ka Chand

Chehra Jo Tera Na Dekh Paei
Kya Dekhti Phir Shewal Ka Chand.

Jan Ka Rog Ban Jata Aik Din Malal Us Ka

Jan Ka Rog Ban Jata Aik Din Malal Us Ka
Sard Khana-E-Dil Mein Rakh Diya Khayal Us Ka

Aik Din Ki Doori Par,Khwab-E-Wasl Roshan Hai
Shab Hoei To Aay Ga Dheaan Mein Jamal Us Ka

Phool, Muskurahat Aur Chnd Hsraton Kay Sath
Poochnay Gaey Hm Bhi, Aik Roaz Haal Us Ka

Natawan Hai Kuch Dil Bhi,Kuch Swal Bemani
Toar Kr Nikal Aay Aur Woh Bhi Jaal Us Ka?

Ham Jawab Kya Detay, Khud Sawal Ban Bethay
Is Qadar Achanak Tha,Ham Say Ik Sawal Us Ka.

Jesay yeh dard say bani huwi thi

Jesay yeh dard say bani huwi thi
Shaam iss tarah kasni huwi thi

Neend aur khwab mein tthani huwi thi
Dill ki aankhon say dushmani huwi thi

Raat ki apni roshni thi buhat
Dhoop kay jesi chandni huwi thi

Koei zi rooh door door na tha
Aur khamoshi buhat ghani huwi thi

Kon tha bann mein bhiegnay wala
Chadar e abr kion tani huwi thi

Goonjti thi harr aik sans kay saath
Ik tamanna jo raagni huwi thi

Aik muddat kay intazar kay baad
Uss darichay mein roshni huwi thi

Aaiyna kion siyaah lagta tha?
Kya andheray say main bani huwi thi.

Kuchh Ranj Na Koei Be Qarari

Kuchh Ranj Na Koei Be Qarari
Dil Par Hai Ajab Sakoot Tari

Takseem To Ho Rahi Hai Rahat
Aati Hi Nahin Hai Meri Baari

Ulfat Mein Tha Sehl Jaan Dena
Ik Cheez Yehi Thi Ikhteyari

Dil Dard Mein Doobta Tha Lekin
Aankhoin Say Huway Na Ashk Jaari

Sab Choom Kay Pichhay Hat Gaey Thay
Pathar Tha Wafa Ka Sakht Bhaari

Dushman Ki Sipaah Bhi Thi Shashdar
Iss Shaan Say Main Nay Jang Haari

Afsos Tha Pichlay Mosamon Ka
Yeh Rutt Bhi Mili To Intazaari

Jab Ban Gaya Aasman, Samander
Saahil Pay Buss Aik Shab Guzari

Iss Baar Na Bach Sakay Gi Shayad
Chahat Ko Laga Hai Zakham Kaari.

Shamma ki tarha yeh shola bhi tha ik raat ki baat


Shamma ki tarha yeh shola bhi tha ik raat ki baat
Ab khuli ham pay teri chashm-e-mdaraat ki baat

Ham k jis baat pay tajj aay thay saari dunya
Teray nazdeek hamesha woh rahi baat ki baat

Teray altaaf ki barish say shraboor tha dil
Yaad parti hai yeh guzri hoei barsaat ki baat

Aankh mein jesay kisi khwab nagar ka manzar
Hoant par us kay kisi shehr-e-tilismaat ki baat

Khud framoshi ki ummid pay aa bethay thay
chhaer di too nay bhi aakhir,wohi halaat ki baat

Jesay ik umr pay chhaei ho syahi iss ki
Yeh gham-e-hijr hai kehnay ko to ik raat ki baat.

Buhat Chaha Jahan Mein Shaad Hona

Buhat Chaha Jahan Mein Shaad Hona
Muqaddar Mein Na Tha Aabaad Hona

Qafas Ko Hm Chaman Hi Maan Laen Gay
Khush Aaey Gr Tujhay Sayyaad Hona

Usay Hai Ronaq-E-Dunya Say Nisbat
So Ab Kis Kay Liay Barbaad Hona

Yeh Dil Hai Said-E-Yaad-E-Yaar Aisa
Na Chahay Ga Kabhi Aazaad Hona

Kabhi Dekhay Woh Apnay Qasr-E-Dil Say
Kisi Ka Khanaman Barbaad Hona

Buhat Hai,Zindagi Kay Rastay Pr
Hamein Ik Doosray Ki Yaad Hona.

Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai


Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai
Dil jisay chahta hai uss say gila mannd bhi hai

Poshish-e-gahm pay na itna bhi koei nazan ho
Is mein halki si khushi ka kahin pewannd bhi hai

Baray,us deed say aankhon ko mila hai kuchh chaen
Lekin is dil ki tarap aaj say dochand bhi hai

Aap kay sarr mein kisi aur ka soda, herat!
Jabb isi sarr ki hmaray liay sogand bhi hai

Raat,tanhai,taaqub mein musalsal koi chaap,
Aur jabb ilm ho, aagay yeh galli bannd bhi hai

Nabz parr dast-e-masiha nahin,hai dast-e-habib
Garr yeh hatt jaey to ik aan mein dil band bhi hai.

Chashm Hairan Bhi Hai Ehed Ki Paband Bhi Hai

Chashm Hairan Bhi Hai Ehed Ki Paband Bhi Hai
Dil Jisay Chahta Hai Us Say Gila Mand Bhi Hai

Poshish-E-Gahm Pay Na Itna Bhi Koi Nazan Ho
Is Mein Hlki Si Khushi Ka Kahin Pewand Bhi Hai

Baray,Us Deed Say Aankhon Ko Mila Hai Kuch Chaen
Lekin Is Dil Ki Tarap Aaj Say Dochand Bhi Hai

Aap Kay Sr Mein Kisi Aur Ka Soda,Herat!
Jb Isi Sr Ki Hmaray Liay So**** Bhi Hai

Raat,Tnhai,Taaqub Mein Musalsal Koi Chaap
Aur Jb Ilm Ho, Aagay Yeh Gli Band Bhi Hai

Nabz Pr Dst-E-Msiha Nahin,Hai Dst-E-Hbib
Gr Yeh Ht Jaey To Ik Aan Mein Dil Band Bhi Hai.

Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi


Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi
Nigah-e-ahl-e-jahan mein haqeer hoon mein bhi

Agar too haqa-e-shaam-o-sahar mein qaid raha
To zindgi kay qafas mein aseer hoon mein bhi

Meray wujood mein jalti iss aag parr matt jaa
Agar too door rahay,zemhareer hoon mein bhi

Teray wujood say munkir jahan mein thi, main hi
Teri nigaah ki abb to aseer hoon main bhi

Meray li'ay bhi rahain abb faza'ein chashm baraah
Saba kay sath khizan ki safeer hoon main bhi

Wafa to sath nibhanay ka ik bahana hai
Riwaj ki teri soorat,aseer hoon main bhi

Main sirf jism nahin, aik zinda rooh bhi hoon
Khuda kay baad,samee-o-baseer hoon main bhi.

Na shoq hai na tamanna na yaad hai dill mein

Na shoq hai na tamanna na yaad hai dill mein
Ke mustaqil kisi ghamm ki nehad hai dill mein

Hai alif laila-o-laila si zindgi darpaesh
So jagti huei ik Shehrzad hai dill mein

Jo zabt-e-chashm kay baa'es na ashk bann paya
Uss aik qatra-e-khoon ka fasad hai dill mein

Phir aik sheh-e-Saba say bulawa aaya hai
Phir aik shoq-e-Suleman nazad hai dill mein

Hai aik sehr-e-dill aawez ka aseer badan
To jaal binti,ko'ei aur yaad hai dill mein

Tamam khwahishein aur hasratein,tamam huein
Magar jo sabb say ajab thi,murad hai dill mein.

Ik pall ko,na raat so saki main

Ik pall ko,na raat so saki main
Uss khwab ki aas mein rahi main

Jab dheyan mein aa gaya woh chehra
Sonay kay bajaey, roa pari main

Bass aik hi yaad mein garifta
Dil thaam kar apna reh gaei main

Bass aik hi ranj say shikasta
Kion uss say bhala juda huwi main

Bass aik khayal dil pay taari
Woh jagta,sath jagti main

Hota woh agar qareeb meray
Phir chhoo kay bhi uss ko dekhti main

Khush baash rahay,sada jiey woh
Par uss say bichhar kay marr gaei main

Zahir mein to sans lay rahi thi
Zinda thi bagher-e-zindgi main

Chandi say badan pay tha andhera
Uss chand say kitni door thi main

Rastay mein diya jala rahi hai

Rastay mein diya jala rahi hai
Jangal ki hawa bula rahi hai

Ab raaz na reh sakay gi chahat
Yeh shoakh,jo gull khila rahi hai

Ik dard para hai palenay mein
Aur yaad usay hila rahi hai

Aankhon pay khulay hain pankh iss kay
Ik aas mujhay sula rahi hai

Chhatri pay sajay hain kuchh kabootar
Aur chandni jhhilmila rahi hai

Thhandak hai badan mein iss bala ki
Ab barf mujhay jala rahi hai

Kis shakl ko bhoolnay lagi main
Kya zeest mujhay bhula rahi hai

Peeni hai nabeez-e-ishq mujh ko
Woh aankh agar pila rahi hai

Phir zindgi jaisay dartay dartay
Ranngon say nazar mila rahi hai.

Ik hasrat-e-aab ho gaei hoon,

Ik hasrat-e-aab ho gaei hoon
Main khud hi saraab ho gaei hoon

Likhi hoon ik ajnabi zaban mein
Honay ko,kitaab ho gaei hoon

Ik khwab mein jii rahi thi ab tak
So khwab hi khwab ho gaei hoon

Tha kitna saja huwa yeh chehra
Aur kesi kharab ho gaei hoon

Ginta jo raha woh mujhh ko har pal
Be hadd-o-hisab ho gaei hoon

Gohar thi kabhi dil-e-sadaf mein
Ab naqsh br aab ho gaei hoon

Karti thi sawal zindgi say
Ab apna jawab ho gaei hoon

Too bethh kinar-e-ishq, main to
Sohni ka Chanab ho gaei hoon

Ab toar liya chaman say rishta
Jangal ka gulaab ho gaei hoon.

Janay kya kya na tamasha ho ga

Janay kya kya na tamasha ho ga
Dill bharay shehr mein tanha ho ga

Bewafa mujh ko samajhnay walay!
Tera mayar-e-wafa kya ho ga?

Kisi boaseeda dareechay say kabhi
Naya manzar nazar aata ho ga?

Meri qismat mein to weerani hai
Ha'ay,woh shakhs bhi tanha ho ga!

Yaas mein behtay huway ashkon say
Uss ka takya kabhi bheega ho ga

Chand raaton kay guzar janay parr
Janay kis haal mein darya ho ga.

Nigah-E-Yar k Pardon Mein Hy Pinha Ada Kesi, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Love Poetry,

Nigah-E-Yar k Pardon Mein Hy Pinha Ada Kesi
Sitam Kesa,Karam Kesa,Jafa Kesi,Wafa Kesi
Ye Jo Tufan Smandar Hen Ye Sb Hasti k Manzar Hain
Agr Qismt Mein Jalna Ho Dawa Kesi Doua Kesi
Sunegy Kon Ab Mjh se Tere Behroop k Qissy
Mjhe B Maar k Kr Di Karam Ki Intiha Kesi
Agr Dil Haar Hi Bethy Mery HumDum Mohbt Mein
Fana Kesi,Baqa Kesi,Saza Kesi,Jaza Kesi
Boht Muddat Se Hum Apne Muqabil Se Nhi Hary
Bula Le Hum B Dekhenge k Hy Shaam-e-Qaza Kesi.

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Romantic Poetry,

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam
Hmaray Shahar Mein Utra Kamaal Ka Mousam
Wo Ek Dua Jo Meri Na Muraad Lout Ayi
Zuban Say Oth Gaya Phir Sawaal Ka Mousam
Bohat Dinon Say Merey Zahan K Darichon Mein
Thahar Gya Hay Tumharay Khayaal Ka Mousam
Jo Bay Yaqeen Hon Baharain Ujhar Be Sakti Hain
Too A Kay Dekh Merey Zawaal Ka Mousam
Mohabatain Be Teri Dhoop Chaon Jaisi Hain
Kabhi Yeh Hijar,Kabhi Yeh Vasaal Ka Mousam
Koi Mila He Nahi Jis Ko Sonptay Mohsin
Hum Aisay Khavab Ki Khushboo,Khyaal Ka Mousam.

Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duaa Rakhna, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Sad Love Poetry, Heart Touching Love Poetry, Love Poetry, Urdu Ghazal,


Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duaa Rakhna
Aa Jaye Koi Shayud Darwaza Khula Rakhna
Ehsas Ki Shamma Ko Iss Tarha Jala Rakhna
Apni B Khabr Rakhna Uskab Pata Rakhna
Ik Boond B Ashkon Ki Daman Na Bhigo Paye
Gham Uski Amanat Hai,Chehry Pe Saja Rakhna
Raaton Ko Bhatkney Ki Deta Hai Saza Mujhko
Dushwar Hai Pehlu Mey Dil Tere Bina Rakhna
Logon Ki Nigahon Ko Padh Leney Ki Adat Hai
Halat Ki Tehrirein Chehrey Se Bacha Rakhna
Bhuloon Main Agar Ay Dil Tu Yaad Dila Dena
Tanhai K Lamhon Ka Har Zakhm Hara Rakhna
Iss Tarha QATEEL Uss Se Bartao Rahe Apna
Wo B Na Bura Maney Dil Ka B Kaha Rakhna.

Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane
Kia Bane Baat, Jahan Baaat Banaye Na Bane
Main Bulata To Hoon Us Ko, Magar Ae Jazba-E-Dil
Us Pe Ban Jaye Kuch Aisee, Ke Bin Aaye Na Bane
Khail Samjha Hai, Kahin Chor Na De, Bhool Na Jaye
Kaash! Yun Bhi Ho Ke Bin Mere Sataye Na Bane
Gha'ir Phirta Hai Liye Yun Tere Khat Ko Keh Agar
Koi Poochay Ke Ye Kia Hai, To Chupaye Na Bane
Is Nazakat Ka Bura Ho, Wo Bhale Hain, To Kia
Haath Aayen, To Unhain Haath Lagaye Na Bane
Keh Sake Ga Kaun, Ye Jalwa Gari Kis Ki Hai
Parda Chora Hai Wo Us Ne Ke Uthaye Na Bane
Maut Ki Rah Na Dekhoon? Ke Bin Aaye Na Rahe
Tum Ko Chahoon? Ke Na Aao, To Bulaye Na Bane
Bolh Wo Sir Se Gira Hai Ke Uthaye Na Uthe
Kaam Wo Aan Para Hai Ke Banaye Na Bane
Ishq Par Zor Nahin, Hai Ye Wo Aatish Ghalib
Ke Lagaye Na Lage, Aur Bujhaye Na Bane.

Hazaroon Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry, Sad Love Poetry, Romantic Poetry,


Hazaroon Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Hai Tum Se Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Or Ro Dena
Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kia Tha Hum Ne Kempas Ki Nadi Pe Ikk Haseen Wada
Bhley Hum Ko Parey Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Jahan Main Jab Talak Panchi Chehaktey Urtey Phirtey Hain
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Puraney Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khyaal Aaye
Mujhy Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Woh Tera Hajar Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehley
Buhat Rotey Hooye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Agar Hum Hasrtoon Ki Qabar Main Hi Dafan Ho Jaeen
Tu Yeh Katboon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Pooraney Rabtoon Ko Phir Se Naye Wade Ki Khwahish Hai
Zara Ikk Baar Tu Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Gay Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Doond Ker Laoon
Woh Pehroon Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Mairay Wajood Ke Jageer Us Ne Mangi Hai, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,

Mairay Wajood Ke Jageer Us Ne Mangi Hai
Ajab Khwab Ke Tabeer Us Ne Maangi Hai
Us Ke Qaid Main Rahti Hoon Main Pahlay Bhi
Na Janay Phir Keon Zanjeer Us Ne Mangi Hai
Gumaan Hota Hai Wo Bhool Sakta Hai Mujhay
Keon K Aj Mairy Tasveer Us Ne Mangi Hai
Mairay Khuda Mujhay Us K Naseeb Main Likh De
Keh Mujh Se Mairy Taqdeer Us Ne Mangi Hai.

Kal Hum Ne Bazam-E-Yaar Mein Kia Kia Sharab Pi, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Urud Poetry, Faraz Poetry, Faraz Ghazal Poetry,


Kal Hum Ne Bazam-E-Yaar Mein Kia Kia Sharab Pi
Sehera Ki Tashnagi Thi So Daria Sharab Pi
Apno Ne Tej Dia Hai To Gheron Mein Ja K Betha
Aye Khanmaan Kharab Na Tanha Sharab Pi
Too Hum Safr Nahi Hai To Kia Seer-E-Gulistaan
Too Hum Saboo Nahi Hai To Pher Kia Sharab Pi
Aye Dil Garfta Gham-E-Jaana Saboo Utha
Aye Kashta Jafaye Zamana Sharab Pi
Do Suraten Hain Chara Dard-E-Faraq Ki
Ya Us K Gham Mein Toot K Roya Sharab Pi
Eik Mehrbaan Buzarag Ne Ye Mashwara Dia
Dukh Ka Koi illaj Nahi Ja Sharab Pi
Badal Garaj Raha Tha Udhar, Muhtasab idhar
Pher Jab Talak Ye Aqadh Na Suljha Sharab Pee
Aye Too K Tere Dar Pe Hain Rindon K Jhmghate
Eik Rooz is Faqeer K Ghar Aa Sharab Pi
Do Jaam in K Naam Bhi Aye Peer-E-Mekada
Jin Raftagaan K Sath Humesha Sharab Pi
Kal Hum Se Apna Yaar Khafa Ho Gia FARAZ
Shayad K Hum Ne Had Se Zada Sharab Pi.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...