Kabhi jo waqt par jaye

Kabhi jo waqt par jaye
Tumhen mujhsay bicharna ho

Tumhen wady say phirna ho
To beshak dair mat karna

Mujhy naraz kar dena
Tum apna rukh badal lena

Tum apni simt chal dena
Mager jub lot k aana

Tumhen mitti k teelay par
Main shayad na dikhai doan

Mager heran mat hona
Wahin do char qadmo par

Mazaar-E-bekaran hoga
Wahan ik phool rakh dena

Aur ik shama jala dena
Aur apna rukh badal lena

“AUR APNI SIMT CHAL DENA”.


Main sun k uski sub batain



Main sun k uski sub batain
Faqat itna hi kehta tha

Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon say riwayat hay

Gilay shikway karo mujh say
Tumhain janan ijazat hay

Magar ik baat meri bhi
Tum yaad rakh laina

Kabhi aisa bhi hota hay
Hawaain rukh badalti hain

Khataain ho hi jati hain
Khafa hona bhi mumkin hay

Khata hona bhi mumkin hay
Hamaisha yaad rakhna tum

Taaluq toot janay say
Kabhi toota nahin kertay.


Kab kaun kisi ka hota hai

Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain.

Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti

Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti
Din nikalta nahi or raat nahin hoti

Na khafa howa karay wo usay kehna
Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti 

Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti
Din nikalta nahi or raat nahin hoti

Na khafa howa karay wo usay kehna
Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti.

Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or


Ho Raat Akeli Pichlay Paiher Or 
Chand Gagan Main Aa Jaye

Tum Chand Ki Manend Tanha Ho 
Kuch Khuwab Saja Kr Palkoun Pay 

Tum Chand Say Batein Kr Laina
Hum Yaad Tmhay To Krtay Hain Tum 

Yaad Humain Bhi Kr Laina
Kuch Bat Na Ho Jb Aisay He Num Ankh 

Tmhari Ho Jaye Tum Bat Kahi Pr Krty Ho
Dil Or  Kahi Per Kho Jaye

Jazbat K Aisay Alam Main 
Muskan Laboun Par Bhar Laina

Hum Yaad Tumhe To Krtay Hain
Tum Yaad Humain Bhi Kr Lena.

Meri Aankhain Khareedo ge Bohat Majbor Halat main

Meri Aankhain Khareedo ge Bohat Majbor Halat main
Mujhe Neelaam karni hain Koi Mujh se Naqad le ly

Main Thore Daam le lon ga
Jo De dy pehli Boli Tu Usi k Naam kar donga

Mujhe Baazaar wale keh rahe hain Kam Aqal Taajir
SunO LogO  Nahi hon main koi hirsi

Nafa NuQsaan ki ShatranJ nahi main Khelne Aaya
Bari MehboOb hain mujh koYeh meri Neem tar Aankhain

MaGar Ab Bechta hon k Maine Ik Khuwaab Dekha
Usay apna Banane ka Usay Dil main Basane ka

Mujhe us Khuwab ka tawaan bharna hai
Inhain Neelaam karna hai tu bas Yeh Kaam karna hai.

Tere Haath Ki Main Woh Lakeer Ban Jaoon

Tere Haath Ki Main Woh Lakeer Ban Jaoon
Sirf Main Hi Teri Taqdeer Ban Jaoun

Main Tujhe Itna Chahoon Ke Tu
Bhool Jyei Her Rishta

Sirf Main Hi Tere Her Rishte Ki
Tasweer Ban Jaoun

Tu Ankhain Band Kare To Aaoun Main Hi Nazar
Is Tarha Main Tere Her Khwab Ki Tabeer Ban jaoun.


Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain

Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain
Fareb-e-zindagi ki aag mein insaan jalate hain

Dilon mein azmat-e-tauheed ke deepak afsurda hain
Jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain

Hawas ki bar-yabi hai Khirad-mandon ki mahafil mein
Rupehli tikliyon ki oot mein eman jalate hain

Hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai
Suna hai nakhuda ke naam se toofaan jalate hain

Shagoofe jhoolate hain is chaman mein bhook ke jhoole
Baharon mein nasheman to bahar-e-unwaan jalate hain

Kahin pazeb ki chan-chan mein majboori tarapti hai
Riya dam tod deti hai sunehre daan jalate hain

Manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-may khana
Ibadat se to Sagar dahar ke shaitaan jalate hain.

Kabi Nadaan Kerti Hai

Kabi Nadaan Kerti Hai
Kabi Heraan Karti Hai

MUJHE MALOOM HAI SHAYAD
Boht Nuqsan Karti Hai

Ye Ghar Weeran Karti Hai
Jahan Hon Ronaqain

Zinda Woh Dil Sunsan Krti Hai
Magar Ab Sun Mere Humdam

Mujhe Karni Mohabbat Hai
Mohabbat Wo Haqiqat Hai

Jo Dil Abaad Karti Hai
Muhabbat jeet hoti hai mgr

ye haar jati ha
kbi dil soz lamho se

kbi bekaar rasmon se
muhbat khud nai marti
muhbt maar deti ha.

Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batein wohi andaz ab bhi hay
Bohut bechain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay

Main kaisay us ki yadon or wadon se nigahen phairon
Wo mujh se roothnay wala mera hamraz ab bhi hay

Yeh tum ho is taaluq par preshaan or nadim bhi
Isi belos rishtay par mujhay to naaz ab bhi hay.

Bharkaye Meri Payas Ko Aksar Teri Ankhain

Bharkaye Meri Payas Ko Aksar Teri Ankhain
Bharkaye Meri Payas Ko Aksar Teri Ankhain

Sehra Mera Chehra Hai Smandar Teri Ankhain
Phir kon bhal dad e tabasm unhain day ga

Royen gi bohat muj se bichar ker teri ankhain
Bhojal nazar ati hein bazahir muje lakin

Khilti hein bohat dil mein uter ker teri ankhain

Ab tak meri yaado se mitaye nahi mitna
Beghi hoi ik shaam ka manzar teri ankhain

Mumkin ho to ik taza ghazal our bhi keh lon
Phir urh na lain khawab ki chadar teri ankhain

Yon dekhte rehna usay acha nahi Mohsin
Wo kaanch ka paykar hai to pathar teri ankhain.

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki
Merey DarD Merey Malaal Ki

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa

Usey Dekhnaa Usey Sochnaa
Meri Zindagi Ka Hai Faysala

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye.

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna

Dukh Dard Kay Maaron Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Zabt Na Kar Paayein Gi Aankhon Kay Samandar
Tum Raah Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna

Phoolon Kay Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Say
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera Zikar Na Karna

Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chand Sitaaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Meri Kahani Ko Ghalat Rung Na Day Dein
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar Na Karna

Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein
Is Baar Bahaaron Say Mera Zikar Na Karna

Lay Jaayein Gi Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar
Darya Kay Kinaron Say Mera Zikar Na Karna

Woh Shakhs Milay Toh Usay Har Baat Batana
Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna.

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay k leye

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay k leye
Shama jalnay k leye hai ya jalanay k leye

Ronay walay tujhe ronay ka saliqa bhi nahi
Ashq peenay k leye hain ya bahanay k leye

Aaj keh donga shab-e gham ki shararat un say
Roz aa jati hai kambakht satanay k leye

Mujh ko maloom tha aap aingay merey ghar lakin
Khud chala aya hoon main yaad dilanay k leye.

Kisi ki yad dil me hai koi ehsas baqi hai

Kisi ki yad dil me hai koi ehsas baqi hai
Badlte mosmon k darmiyan ik raz baqi hai

Abhi to me safar me hoon milengi manzilen mujh ko
Mgr in raston k darmiyan ak sath baqi hai

Kahin par sham dhalti hai kahin par rat hoti hai
Abhi to chandni hai chand ki rat baqi hai

Chale aao kisi din tum hamara hal bhi dekho
Hamara jism murda hai mgr ik sans baqi hai

Umeed hai phir milega wo hamen 1din
Khuda pr hy bhrosa abi Khuda ki zat baqi hy.

Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla

Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla
Para Hai Waasta Jis Se Wohi Teer-O-Tabar Nikla

Sabaq Daita Raha Jo Umer Bhar Roshan Khyali Ka
Usey Jab Pas Se Daikha To Khud Bhi Tang Nazar Nikla

Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabat Kar Rahey Thay Hum
Usey Jab Chhu K Daikha To Faqat Khaki Bashar Nikla

Mohabat Ka Khumaar Utra To Tab Saabit Hua
Jisey Manzil Samajhte Thay Wo Be Maqsad Safar Nikla.



Usko Mera Halka Sa Ehsas To Hy

Usko Mera Halka Sa Ehsas To Hy
Be-Dard Sahi Wo Mera Hamraz To Hy

Wo Aye Na Aye Mere Pas Lekin
Shidat Se Mujhe Uska Intzar To Hy

Abhi Nhi To Kia Hua Mil Hi Jayega Kabi
Mere Dil Me Us Se Milne Ki Aas To Hy

Mohabat Ki Gawahi Meri Ankhon Se Na Mang
Barsti Nhi Ankhain Mgr Dil Udas to Hy.




Wohi Takrar Lafzon Ki Wohi Andeshe Furqat K


Wohi Takrar Lafzon Ki Wohi Andeshe Furqat K
Wohi Anjan Si Dastak Wohi Har Baat Pe Ranjish

Wohi Har Baat Pe Larna
Wohi Apni Kitabon Me Gulaabi Titliyaan Rakhna

Wohi Be-Maani Baaton Me Hamara Zikar Le Aana
Wohi Muskaan Dheemi Si Wohi Kuch Bolti Aankhein

Wohi Chup Chaap Sa Lehja Wohi Be-Chain si Halchal
Wohi Kehne Se Kuch Darna Wohi Saaye Se Ghabrana

Sabhi Aasaar Kehtey Hain Unhe Mujh Se Mohabbat Hai
Haan Unhe Ab Bhi Mohabbat Hai.



Hum Akser Sab Se Kehte Hain Kyun Khuwab Adhorey Rehte Hain

Hum Akser Sab Se Kehte Hain Kyun Khuwab Adhorey Rehte Hain
Kyun Yaad Kisi Ki Aati Hai Kyun Dard Jiger Mein h0ta Hai

Kyun Qadam Behakne Lagte Hain Hum Jub B Chalne Lagte Hain
Kyun Palken Num h0 Jati Hain Hum Jub B Hansne Lagte Hain

Akser Raat0n Ki Tareeki yaad0n K Zeher Ughalti Hai
Kyun Hijer Ka Mausam Aata Hai Jub Vasl Ki Baaten h0ti Hain

Kyun l0g Dewane h0te Hain Kyun Dard Hazar0n Sehte Hain
Hum Akser Sab Se Kehte Hain Kyun Khuwab Adho0re Rehte Hain.

Mujhe is aas pay jinay ka saliqa nahi aata

Mujhe is aas pay jinay ka saliqa nahi aata
Koi Mera hay to phir mujh me simat q nahi jata

Dil e nadan ki tasalli ko to hain afsanay bohat
Lekin ye Dil chupkay say sambhal q nahi jata

Hazaron logon nay jhanka meray Dil k jahan me
Janay us k siwa yeh nagar bas q nahi pata

Subh o sham ankhon me basa rakhi hy soorat uski
Main us k Dil main bas jaon yeh hunar q nahi aata.

Chandni Raat Ko Saher Kehna


Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi Magar Kehna

Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna

Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna

Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna

Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna

Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna

Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.

Mujhe Fursat He Fursat Hai


Mujhe Fursat He Fursat Hai
Saweray Araam Se Uthnaa

0r Shab K0 Dair Se S0na
Humesha Bahar He Rehna

Hr Kisi Se Milnaa
Na K0i Fiqarr Lahaq Hai

Na K0i Yaad Aata Hai
Magr Ye Aakhrii Misraa
Zara Sa Jho0t Lagta Hai.

Maine hai ek dost banaya


Maine hai ek dost banaya
jis say main nay apnay saaray qeemti raaz

Apnay saaray qeemti lamhay
Bant liye hain

Jis say main rooz hi batain karta hoon
Rooz hi iss uss say milta hoon

Jis say main nay tumhari saari
batainn bhi keh daalein hain

Aur mujh ko yeh dar bhi nahi hai
Kay woh ja kar mehfil bher

say ziker karay ga
Kaisa acha dost hai mera

Kaisa piyara humraaz hai mera
Janti hoo tum kon hai woh

Woh hai jaana
Kali gahrii raat ka zever

Aasman kay aanchal par takka ek mooti
Hai woh tou ek he hai bus

Teray jasa mere jesa
TANHA RAAT KA TANHA CHAND.


SanGa Zra De Sta Che Sabar Sho Zamana

 
SanGa Zra De Sta Che Sabar Sho Zamana
 Zama Zra Khu Na SabreGi Yara Sta Na

Da Dunya Pa Har Yao Kaar Ke Me Bus Ta Ye
 Ta BaiGhama Khpal Karona Kry Janana

Kha PohaiGam Sta Ba Hom Sa Majbori V
Khu Za Hom Yama Majbor Da Khpala Zana.

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain


Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain

Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain

Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain

Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain

Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain

Rabta Baham Pe Hamein Kya Na Kahenge Dushman
Aashna Jab Tere Paigam Se jaal jatay Hain.

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo


Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hai
Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hai zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.





Saarey waadon ko bhula sakti hun lekin rehne do


Saarey waadon ko bhula sakti hun lekin rehne do
Main tumhein chor k ja sakti hun lekin rehne do

Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz
faisla mein bhi suna sakti hun lekin rehne do

Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali
us per main muskura b sakti hun lekin rehne do

Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday
main tumhein yaad dila sakti hun lekin rehnay do.

Guzrey Huey Taveel Zamaney Ke Baad Bhi


Guzrey Huey Taveel Zamaney Ke Baad Bhi
Dil Me Raha woh Chorr Ke Jaaney Ke Baad Bhi

Pehlu Me Reh Ke Dil Ne Dia Hai Boht Fareb
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulaane Ke Baad Bhi

Qurbat Ke Baad Or Bhi Qurbat Ki Hai Talaash
Dil Mutmain Nahin Hai Terey Aane Ke Baad Bhi

Wo Tu Yahan Nahin Hai Magar Tu Yahain Pe Hai
Tera Hi Zikar Hai Terey Jaane Ke Baad Bhi

Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahi Hai Usey FARAZ
Dil Ka Tamam Haal Sunaney Ke Baad Bhi.


Sab kuch mila sukun ki daulat nahi mili


Sab kuch mila sukun ki daulat nahi mili
Ek Tujhko bhool jane ki mohlat nahi mili

Karne ko bahut kaam the apne liye magar
Humko Tere khayal se Fursat nahi mili.

Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain


Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tum kya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain

ab toh chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain

ab toh ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain.

Abhi Suraj Nhi Dooba


Abhi Suraj Nhi Dooba
Zara C Shaam To Hone Do

Mai Khud Hi Loat Jaunga
Mujhe Nakaam To Hone Do

Kyu Dhoondte Ho Bhane
Mere Dil Ko Todne ke

Mai Khud Hi Toot Jaunga
Mujhe Badnaam To Hone Do

Mai Lakh Gareeb Shi
Par Bik Nhi Sakta

Wafaayen Bech Dena
Mujhe NilamTo Hone Do.

Yeh Mast Mast Be-misal Aankhein


Yeh Mast Mast Be-misal Aankhein
Nashay Se Har Dam Nidhal Ankhein

Uthein Toh Hosh-o-Hawas Cheenen
Giren Toh Kar Den Kamal Aankhein

Koi Hai In K Karam Ka Talib
Kissi Ka Shok-e-Wisal Aankhein

Na Yun Jaleyein Na Yun Satayein1
Karein Toh Kuch Yeh Khayal Aankhein

Hain Jeenay Ka Ik Bahana Yaaro
Yeh Rooh Parwar Jamal Aankhein

Draz Palkein Ghazal Aankhein
Muswari Ka Kamal Aankhein

Sharab RAB Ne Haram Kar Di
Magar Hain Rakhi Halal Aankhein

Hazaron In Se Ab Qatal Hongay
Khuda K Banday Sambhal Aankhein.

Kis Ehad Ki Batain Krte Ho


Kis Ehad Ki Batain Krte Ho
Kab Kon Kisi Ka Hota He

Kab Kon Kisi Ki Chahat Main
Yun Zehar Ka Saagar Pita He

Hijar Murawat Mehr-O-Wafa
Sab Rasmi Rasmi Batain Hain

Har Shakhs Khudi Ki Masti Main
Bus Apni Khatir Jeeta Hai.

Wo Ladki shayad pagal thi


Wo Ladki shayad pagal thi
Din Raat hi gum sum rahti thi

Kuch sharm-o-haya me doobi hui
Kuch naram mizaj rakhti thi

Aankhon me neem nasha sa tha
Baaton se deewani lagti thi

Humraz na tha uska koi
Bas khud se batein karti thi

Ek sham me aanchal me Aksar
Jazbat chupaye rakhti thi

Darti thi juda ho jane se
Ya pyar se shayad darti thi

Kya sabar tha us deewani ka
Kya Zabt-E-Mohabbatrakhti thi

Hai rashk mujhe us pagli pe
Kya khoob Mohabbat karti thi.

Sta da ratlo pa tama tama kho moday teri shwe


Sta da ratlo pa tama tama kho moday teri shwe
Las pa nama darta olar yam ta ba kala razay

Wrazey de shmarama kalona tair sho
Sta da raatlo pa intezar yam ta ba kala razay.

Us Ne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin


Us Ne Jab Jab Bhi Mujhe Dil Se Pukara Mohsin
Main Ne Tab Tab Ye Bataya Ke Tumhara Mohsin

Log Sadiyon Ki Khataon Pe Bhi Khush Baste Hain
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Ne Ujara Mohsin

Jab Aa Gaya Ho Ye Yaqin Ab Woh Nahi Aaye Ga
Gham Aur Anso Ne Dia Sahara Mohsin

Woh Tha Jab Paas To Jeney Ko Bhi Dil Karta Tha
Ab To Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin

Us Ko Pana To Muqadar Ki Lakeron Mein Nahi
Us Ka Khona Bhi Karen Kesey Gawara Mohsin.

Wo tu khushbo hai hawawon mai bikhar jayega


Wo tu khushbo hai hawawon mai bikhar jayega
Masla tu phool ka hai phool kidhar jayega

Hum tu samjhe the ek zakham hai bhar jayega
Kia khabar thi ke rag-e-jaan mai utar jayega.

Nary Starge Torawi Pa Khpalo Laaso


Nary Starge Torawi Pa Khpalo Laaso
Khkari Nan Me Qatlavi Pa Khpalo Laaso

Zama Num Na Paki Gul Da Gulab Jorr Kri
Che Nakrezi Lagavi Pa Khpalo Laaso

Raqeeban Me De Bia Marr Kre Ejazat Dai
Ka Raqeeban Me Khakhavi Pa Khpalo Laaso

Charta Zan Bandi Mayana Na Shi KHUDAYA
Zaan Sheesha Ke Sazavi Pa Khpalo Laaso

Da Arman Me KHUDAYA Yao Zala Pora Kri
Che Sahar Me Pasa V Pa Khpalo Laaso

Da Maali Ba Da Bagh Se Hifazat Okri
Che Gulan Tre Shukavi Pa Khpalo Laaso

Pa Awal Ke Me “Rahmana” Pa Jarra Kri
Bia Me Okhke Paakavi Pa Khpalo Laaso.

Janana tha sanga Roje sanga de


Janana tha sanga Roje sanga de
Da loge Tande wraze Shpe sanga de

Da Rojamate yakh Sharbat janana
Pa Peshmane ke Parate sanga de

Sa Trina Ghware Khudai ta jare ka na
Da Duwagano Marhale sanga de

Ta kho ba der der Nematona vene
Da Khudaye da Raham Nezare sanga de

Che har Makham ve sta pa kor ke Akhtar
Da Akhtarono Afsane sanga de

Janana daa da Ibadat wraze de
Har Maskhutan de Taraweh sanga de

Marra kho sa ba de Nor sar khogaom
Da Khuadye pa Mena ke Maze sanga de.

Maa Way Warta Daa Sar Che Darla Cha Maat Krro Malgari


Maa Way Warta Daa Sar Che Darla Cha Maat Krro Malgari
We Khaze Pa Gul Oweshtam Da Kaara Sama Sra Wa

Maa We Yara Da Gul Pa Weshto Sar kho Na Maategi
We Chap Sha Chata Ma Waya GAMLA Hum Warsara Wa.

Phir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi

Phir Na Simtegi Mohabbat Jo Bikhar Jayegi
Zindagi Zulf Nahi Phir jo Sanwar Jayegi

Tham Lo Hath Us Ka Jo Pyaar Kare Tum Se
Ye Zindagi Thahregi Nahi Jo Guzar Jayegi.


Zra Pane Ki Chahat Main


Zra Pane Ki Chahat Main
Boht Kuch chut Jata Hai

Na Jane Sabr Ka Dhaga
Kahan Par Toot Jata Hai

Kise Hamrah Kehte Ho
Yahan To Apna Saya Bhi

Kahin Par Saath Rehta Hai
Kahin Par chut Jata Hai

Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi
Bahut Mazboot Lagta Hai

Zara Si Bhool Se Lekn
Bharosa Toot Jata Ha.

Unn ki mehfil mai chal k dekhte hain

Unn ki mehfil mai chal k dekhte hain
Ham bhi nazrain badal k dekhte hain

Kitni tauqeer hamko milti hai
Unki aankhon mai dhal k dekhte hain

Ham bhi yakta nahi hai iss fun mai
Wo bhi hamko sambhal k dekhte hain

Khoob waqif hain tumse ham lekin
Chund lamhe behl k dekhte hain

Wo bhi aati hai ghar se bahar kya
Ham bhi bahar nikal k dekhte hain

Kyn mohabbat se kaam chal na saka
Gard nafrat ki mull k dekhte hain

Apni pehchan k liye janan
Apna chehra badal k dekhte hain.


Tera khayal Agar Juzw-e-Zindgi Na Rahy


Tera khayal Agar Juzw-e-Zindgi Na Rahy
Jahan Main Mery Liye koi Dilkashi Na Rahy

Main Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamanna Main
Jahan Sy Koi Bhi Imkan-e Waapsi Na Rahy

Tu Theek Kehta Hy Ay Irfan Theek kehta Hy
K Hum Hi QabiL-e-Taj DeeD-e-MOHBBAT Na Rahy

Mera To khair AzaL Hi Sy Gham MuQaddar Hy
Teri NIGAH Ki Pehchan BERUKHI Na Rahy

Teray Firaaq Ka Mosam Azaab Hy Irfan
Kabi kabi To Main kehta Hoon Zindgi Na Rahy.


Har Raat Gham-E-Tanhaai


Har Raat Gham-E-Tanhaai
Har Shaam Teri Yaad Aai

Laakh Tujhey Bhulana Chaha
Us Se Barh Kr Teri Yad Aai

Tujh Se Koi Umeed Bhi Wabasta Nahi
Us Dukh Se Meri Aankh Bhar Aai

Logon Ne Poocha Ashkon Ka Sabab
Bus Mujhe Kehna Para TANHAAI.

Mohabbat meharban hogi


Mohabbat meharban hogi
pareshan tum nahi hona

kbhi chup kr nahi rona
kabhi udaas mat hona

judai zehar hoti hai
mujhe maloom hai lakin

firaq-o-hijir ka mosam
yaqeenan beet jaye ga

yaqeenan wasl k lamhe
dobara loat aayenge

wohi shamain wohi raatain
wohi qisse wohi batain

wohi phir dastaan hogi
MOHABBAT MEHARBAN HOGI.

Samnay Manzil thi aur Peechay us ki Aawaz

Samnay Manzil thi aur Peechay us ki Aawaz
Rukta to safar jata Chalta to bicher Jata

Manzil ki bhi Hasrat thi aur us se Muhabbat Bhi
Ay Dil btaa mujh ko Us wkt me kidher Jata

Muddat ka safar bhi tha aur Barson ki Shanasaai Bhi
Rukta to Bikher Jata Chalta to Main Marr Jata

Lagi Piyaas ghazab ki thi Pani main bhi Zeher Tha
Peeta to Marr jata na Peeta to bhi Marr Jata.

Na Jane Dhoondty Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mai

Na Jane Dhoondty Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mai
Chupa Rakhe Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mai

Kahan Wo Shokhiyan Pehlay Si Ab Kuch Bhi Nahi Baqi
Chaly Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mai

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mai Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Main

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mai

Mily The Baad Mudat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mai

Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mai.

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha


Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy Main Khud Hi
Kho Gayi Tou Ye Mera Naseeb Tha.

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo


Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hai
Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hai zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain

Garmi-e-Hasrat-e-NaKaam Se Jal Jaatay Hain
Ham Charaaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaatay Hain

Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Numaaish Ke Lye
Ham Isi Aag Mein Gumnaam Se Jal Jaatay Hain

Khud-Numaayi Tou Nahee Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Se Jal Jaatay Hain

Bach Nikaltay Hain Agar Aatish-e-Sayyaal Se Ham
Shola-e-Aariz-e-Gulfaam Se Jal Jaatay Hain

Jab Bhee Aata Hai Mera Naam Tere Naam Ke Saath
Jaanay Kiun Loog Mere Naam Se Jal Jaatay Hain

Rabta Baham Pe Hamein Kya Na Kahenge Dushman
Aashna Jab Tere Paigam Se jaal jatay Hain.

Tum Mosam Mosam Lagte Ho


Tum Mosam Mosam Lagte Ho
Jo Pal Pal Rang Badalte Ho

Tum Sawan Sawan Lagte Ho
Jo Sadion Baad Baraste Ho

Tum Sapna Sapna Lagte Ho
Jo Mujh Ko Kam Kam Takte Ho

Tum Pal Pal Mujh Se Larte Ho
Par Phir Bhi Ache Lagte Ho

Baat To Hai Sharmili Si
Par Kehne Ko Dil karta Hai

Lo Aaj Tumhain Ye kehte Hain
Tum Apne Apne Lagte Ho.

Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay

Jahan talak bhi ye sehra dikhaai deta hay
meri tarha sey akela dikhaai deta hay

na itni taiz chaley sar-phiri hawa sey kaho
shajar pe aik hi patta dikhaai deta hay

bura na maneye logon ki aib joi ka
inhain tu din ka bhi saya dikhaai deta hay

ye aik abr ka tukra kahan kahan barsey
tamam dasht hi piyasa dikhaai deta hay

waheen pohanch k giraen gai badbaa.n ab tu
wo door koi jazeera dikhaai deta hay

wo alwida ka manzar wo bhegti palkain
pase ghubaar bhi kiya kiya dikhaai deta hay

meri nigah sey chup kar kahan rahey ga koi
k ab tu sang bhi shisha dikhaai deta hay

simat k reh gai akhir pahaar sey qad bhi
zameen sey har koi oncha dikhaai deta hay

khuli hay dil main kisi k badan ki dhoop
har aik phool sunehra dikhaai deta hay.

Kiya Karta Hoon Tanhai Main Ashkon Se Wuzu Aksar


Kiya Karta Hoon Tanhai Main Ashkon Se Wuzu Aksar
Tassawur Mein Raha Karti Hai Tujh Se Guftugu Aksar

Teri Ankhon Mein Khud Ko Dhoondta Hoon Is Liye Shayed
Ke Apni Hi Raha Karti Hai Mujh Ko Justuju Aksar

Takaa Karta Hoon Tanha Beth Kar Pehron Jo Phoolon Ko
Tumhari Un Main Hoti Hai Shabahat Hubahuu Aksar

Woh Raaz Dil Jisey Phoolon Ki Surat Dil Main Rakha Tha
Ussi Ki To Mehek Phailli Hai Jaana Chaarsu Aksar

Deen-E-Wafaa Ka Dum To Sab Bharty Hain Lekin Kyon
Issi Ke Naam Par Galiyon Mein Behtaa Hai Lahuu Aksar.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...