Pages

Zillat-e-tanhai se ghabra ke aae hon

Zillat-e-tanhai se ghabra ke aae hon
Main abhi abhi shehr-e-wafa se aae hon,

Kuch dair hawa ko baton mein lagae rakhna
Main ghar mein ek charagh jala ke aae hon,

Usne pocha hai ehad-e-wafa nibhahon gi
So hathon mein Quraan utha ke aae hon,

Wo chahe to ab mujh se tark-e-taluq kr le
Wo meri zindagi hai usse bta ke aae hon,

Wo ab be mujhe anna-parst samjhta hai
Main jise roo roo ke mana ke aae hon.

No comments:

Post a Comment