apne andar Gham chhupaa ke dekh lo
Khud ko yuuN bhi aazmaa ke dekh lo
duur ho jaayegi din bhar ki thakan
meri jaanib muskuraa ke dekh lo
phir ubhar aayeNge yaadoN ke nuquush
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo
bhuul jaayeNge tumhiiN sab aaine
meri aaNkhoN meN samaa ke dekh lo.
No comments:
Post a Comment