Pages

Barkaein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein


Barkaein Meri Piyaas Ko Aksar Teri Ankhein
Sehra Mera Chehra Hay Samander Teri Ankhein

Phir Kaun Bhala Daad-e-Tabassum Inhein Dega
Rooyein Ghi Buhat Mujse Bichar Kar Teri Ankhein

Khali Jo Howi Shaam-e-Gharibaan Ki Hatheli
Kia Kia Na Lutaati Rahein Guhar Teri Ankhein

Boojal Nazar Aati Hein Bazahir Muje Laikin
Khulti Hein Buhat Dil Mein Uther Kar Teri Ankhein

Ab Takh Meri Yadoon Say Mitaye Nahe Mittta
Bheegi Howi Ek Shaam Ka Manzer Teri Ankhein

Mumkin Hoo Toa Ek Taza Ghazal Aur Bhi Keh Loon
Phir Oarh Nah Lein Khuwaab Ki Chader Teri Ankhein

Mein Sang-e-Sift Eik Hi Rastey Mein Khara Hoon
Shayid Muje Dekhein Ghi Palat Kat Teri Ankhein

Yun Dekhtey Rehna Ussey Acha Nahe Mohsin
Woh Kaanch Ka Pekar Hay Toa Pather Teri Ankhein.



No comments:

Post a Comment