Kitab E Zindagi main mainay
Kuch Rangh bharay thay Khuwabon Ke
Magar
Na janay kaisi hawa chali k
Auraaq ulat’tay gay Aur
Fikr k haashaiy khinchtay hi chalay gay
Woh Alfaz
Jo khushi ka ehsas ban kar mehaknay lagtay thay
Un main say kuch
Dhundhlay ho chalay
Aur kuch mit chalay
Ab qalam bhi saath nahi deta
K phir say wahi likhawat ho
K phir say wahi Sajhawat ho
lagta hay
Ab to yeh sitrain sada khali hi rahain gi.
No comments:
Post a Comment