Pages

Main ne jab likhna seekha tha


Main ne jab likhna seekha tha
Pehle tera naam likha tha

Main wo ism-e-azeem hoon jis ko
Jin-o-malik ne sajda kya tha

Main wo sabr-e-sameem hoon jis ne
Baar-e-amaanat sar pe lya tha

Jo paaya hai wo tera hai
Jo khoya wo bhi tera tha

Tujh bin saari umar guzaari
Log kahain gay tu mera tha

Tu ne kyun mera haath na pakra
Main jab rastay se bhatka tha

Pehli baarish bhejnay waalay
Main teray darshan ka pyaasa tha.

No comments:

Post a Comment