Pages

Mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah

Mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa tera fasoon-e-zebaai

un aarzooN pe chhai hai gard-e-maayoosi
jinhoN ne tere tabassum meiN parvarish paai

fareb-e-shauq ke raNgeeN talism TuuT gaye
haqeeqatoN ne havaadis se phir jalaa paayi

sukoon-o-Khwaab ke parde sarakte jaate haiN
damaaGh-o-dil meiN hai vahshat ki kaar-farmaai

vo taare jin meiN muhabbat ka noor taabaaN thaa
vo taare Doob gaye le ke raNg-o-raa’naai

sulaa gayii thiiN jinheiN teri multafat nazreiN
vo dard jaag uThe phir se le kar aNgRaai

ajeeb aalam-e-afsurdagi hai roo ba-faroGh
na ab nazar ko taqaazaa na dil tamannaai

tiri nazar, tire gesu, tiri jabeeN, tire lab
mirii udaas tabee’yat hai sab se uktaai

maiN zindagii ke haqaa’iq se bhaag aaya thaa
k mujh ko Khud meiN chhupaa le tiri fusooN-zaai

magar yahaaN bhi ta’aqub kiyaa haqaa’iq ne
yahaaN bhi mil na saki jannat-e-shakeb’aai

har ek haath meiN le kar hazaar aa’eene
hayaat baNd dareechoN se bhi guzar aayi

mire har ik taraf se ek shor gooNjaa hai
aur us meiN Doob gayi ishratoN ki shahnaai

kahaaN talak koi zindah haqeeqatoN se bache
kahaaN talak kare chhup chhup ke naGhma pairaai

voh dekh saamne ke pur-shikvaa aivaaN se
kisii kiraaye ki laRki ki cheeKh Takraai

voh phir samaaj ne do pyaar karne vaaloNko
sazaa ke taur pe baKhshi taveel tanhaai

phir ek teerah-o-taareek jhoNpaRii ke tale
sisakte bachche pe bevaah kii aaNkh bhar aai

voh phir bikii kisii majboor kii javaaN beTi
voh phir jhukaa kisii dar pe Gharoor-e-barnaai

voh phir kisaanoN ke majmooa’ pe gun-mashiinoN se
haqooq yaaftaa tabqe ne aag barsaai

sakoot-e-halqa-e-zindaaN se ek goooNj uThi
aur us ke saath mire saathiyoN kii yaad aayi

nahiN nahiN mujhe youN multafat nazarse na dekh
nahiN nahiiN mujhe ab taab-e-naGhmaa pairaai

miraa junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa teraa fasoon-e-zebaai.

No comments:

Post a Comment