Pages

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se

Dhalte Suraj Ne Kaha Raat Ki Tareeki Se
Hoti Hai Qadr Roshni Ki Roshni Ke Baad

Maine Mana Tu Zindagi Hai Main Sakoot Magar
Hoti Hai Jugnuon Ki Subah Roshni Ke Baad

Tere Aate Hi Theher Jaata Hai Duniya Ka Safar
Hoti Hai Zindagi Ki Subah Roshni Ke Baad

Tu Zindagi Hai Tera Kaam Safar Karna Hai
Hoti Hai Pursakoon Fiza Roshni Ke Baad

Tu Gar Kitna Bhi Kahe Tujhko Bhi Chahat Hai Meri
Jalte Hai Munderon Pe Diye Roshni Ke Baad

Mujhse Kya Talluq Jalte Hue Chiragon Ka
Jalte Hai Gar Wo Bhi To Yahan Roshni Ke Baad

Meri Chahat Mein To Shamil Hai Khuda Ki Chahat
Milte Hai Mustafa Se Khuda Roshni Ke Baad

Maine Mana Tere Mairaj Hai, Mairaj-E-Mustafa Lekin
Laate Hai Wo Tashreef-E-Jahan Roshni Ke Baad

Inhi Baaton Mein Achanak Ye Din Gharoob Hua
Kaun Jaane Hai Yahan Kis Ki Kadar Roshni Ke Baad.

No comments:

Post a Comment