Pages

Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi

Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi.

No comments:

Post a Comment