Pages

Kal Hum Ne Bazam-E-Yaar Mein Kia Kia Sharab Pi, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Urud Poetry, Faraz Poetry, Faraz Ghazal Poetry,


Kal Hum Ne Bazam-E-Yaar Mein Kia Kia Sharab Pi
Sehera Ki Tashnagi Thi So Daria Sharab Pi
Apno Ne Tej Dia Hai To Gheron Mein Ja K Betha
Aye Khanmaan Kharab Na Tanha Sharab Pi
Too Hum Safr Nahi Hai To Kia Seer-E-Gulistaan
Too Hum Saboo Nahi Hai To Pher Kia Sharab Pi
Aye Dil Garfta Gham-E-Jaana Saboo Utha
Aye Kashta Jafaye Zamana Sharab Pi
Do Suraten Hain Chara Dard-E-Faraq Ki
Ya Us K Gham Mein Toot K Roya Sharab Pi
Eik Mehrbaan Buzarag Ne Ye Mashwara Dia
Dukh Ka Koi illaj Nahi Ja Sharab Pi
Badal Garaj Raha Tha Udhar, Muhtasab idhar
Pher Jab Talak Ye Aqadh Na Suljha Sharab Pee
Aye Too K Tere Dar Pe Hain Rindon K Jhmghate
Eik Rooz is Faqeer K Ghar Aa Sharab Pi
Do Jaam in K Naam Bhi Aye Peer-E-Mekada
Jin Raftagaan K Sath Humesha Sharab Pi
Kal Hum Se Apna Yaar Khafa Ho Gia FARAZ
Shayad K Hum Ne Had Se Zada Sharab Pi.

No comments:

Post a Comment