Pages

Kisi kii aankh jo purnam nahi hai

Kisi kii aankh jo purnam nahi hai
Na samajho yeh ke us ko Gam nahi hai,

Savaad-e-dard mai tanhaa kharaa hon
Palat jaaun magar mausam nahi hai,

Samajh main kuch nahin aataa kisi ke
Agarche guftaguu mubaham nahi hai,

Sulagataa kyun nahi taariik jangal
Talab ki lau agar madham nahi hai,

Yai bastii hai sitam paravar digaan kii
Yahan koi kisi se kam nahi hai,

Kinaaraa duusaraa, dariyaa kaa jaise
Wo saathii hai magar maharam nahi hai,

Dilo.n kii raushanii bujhane na denaa
Wajood-e-tiiragii mahakam nahi hai,

Main tum ko chaah kar pachhata raha hun
koi is zaKhm kaa maraham nahi hai,

Jo koi sun sake 'Amjad' to sunaa denaa
Ba-juz ek baaz gasht-e-Gam nahin hai.

No comments:

Post a Comment