Pages

Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Ghazal, Heart Touching Poetry,


Nukta Cheen Hai, Ghum-E-Dil Us Ko Sunaye Na Bane
Kia Bane Baat, Jahan Baaat Banaye Na Bane
Main Bulata To Hoon Us Ko, Magar Ae Jazba-E-Dil
Us Pe Ban Jaye Kuch Aisee, Ke Bin Aaye Na Bane
Khail Samjha Hai, Kahin Chor Na De, Bhool Na Jaye
Kaash! Yun Bhi Ho Ke Bin Mere Sataye Na Bane
Gha'ir Phirta Hai Liye Yun Tere Khat Ko Keh Agar
Koi Poochay Ke Ye Kia Hai, To Chupaye Na Bane
Is Nazakat Ka Bura Ho, Wo Bhale Hain, To Kia
Haath Aayen, To Unhain Haath Lagaye Na Bane
Keh Sake Ga Kaun, Ye Jalwa Gari Kis Ki Hai
Parda Chora Hai Wo Us Ne Ke Uthaye Na Bane
Maut Ki Rah Na Dekhoon? Ke Bin Aaye Na Rahe
Tum Ko Chahoon? Ke Na Aao, To Bulaye Na Bane
Bolh Wo Sir Se Gira Hai Ke Uthaye Na Uthe
Kaam Wo Aan Para Hai Ke Banaye Na Bane
Ishq Par Zor Nahin, Hai Ye Wo Aatish Ghalib
Ke Lagaye Na Lage, Aur Bujhaye Na Bane.

No comments:

Post a Comment