Pages

Pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaG kisii ne jalaa diyaa, Sad Urdu Poetry, Urdu Best Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Best Heart touching Poetry, Heart Touching Poetry,


Pas-e-marg mere mazaar par jo chiraaG kisii ne jalaa diyaa
Use aah daaman-e-baad ne sare shaam hii se bujhaa diyaa

Mujhe dafan karnaa tuu jis ghari to ye us se kahanaa ki ai parii
Wo jo teraa aashiq-e-zaar thaa tah-e-Khaak use dabaa diyaa

Dam-e-Gusl se mere peshtar use ham_damo.n ne ye soch kar
Kahii.n jaave us kaa na dil dahal merii laash par se haTaa diyaa

Merii aa.Nkh jhapakii thii ek pal mere dil ne chaahaa ki uTh ke chal
Dil-e-beqaraar ne o miyaa.N vahii.n chuTakii leke jagaa diyaa

Zaraa un kii shoKhii to dekhiye liye zulf-e-Kham_shudaa haath me.n
Mere piichhe aaye dabe-dabe mujhe saa.Np kah ke Daraa diyaa

Mai.n ne dil diyaa mai.n ne jaa.N dii magar aah! tuune na qadr kii
Kisii baat ko jo kahaa kabhii use chuTakiyo.n me.n u.Daa diyaa.

No comments:

Post a Comment