Pages

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo Shamim
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya.

No comments:

Post a Comment