Pages

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota

Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota

Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota

Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota

Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota

Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota

Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota

Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota

Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai
Aisi basti se to weerana banaaya hota.

No comments:

Post a Comment