Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste
Tha chupa rakha tha jab suraj ne chehra apna
Chaand tare jal gaye roshni ke waste
Her tarf thi mauosiya ro raha tha ye naseeb
sah rahe thy her sitam bebasi ke waste
zindaghi hi loot gayi to koun pochta hai yaha
dhoondte hi rah gaye her khoshi ke raaste
dost ayese bhi thy ham se lag ker woh gale
Maarte thy khnjer dil per dushmani ke waste
Aankh ka pani bhi ab dard se sookh gaya
nahi rote aaj ham kisi ki dosti ke waste
ham ne wafa ki thi bhut to bewafa ham se kahe
Bhut milte hai aaj sanam aashiqi ke waste
ham andhero main bhi roye agar to elzaam sab lagate thy
Aag laga di aaj gher main raoshni ke waste
khuda se manga tha jab to kuch nahi hame mila
zid main aye to aasma bhi jhuk gaya her khoshi ke waste
Aasma bhi jhook gaya ye kis kami ke waste
Mar rahe thy bar bar zindaghi ke waste-umesh.
No comments:
Post a Comment