Choota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye
Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye
Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye
Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye
Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye
Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye
Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye
Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye
Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye
Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye
Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye.
No comments:
Post a Comment