Jab bhi aati hain khayalon main Tumhari aankhen
Bheeg jati hain kisi ghum se hamari aankhen
Dhal gai shaam andehre ne tani phir se apni chadar
So gaien thak k Tere hijjar ki maari aankhen
Tum Mere pass nahi phir bhi Tumhara chehra
Sochti rehti hain ye dard ki maari aankhen
Silsila toot bhi sakta tha barsaat ka kabhi
Thaam leti mere ashkon ko Tumhari aankhen
Hum isi aas pe aankhon ko khula rakhte hain
Laut aain na kisi rooz Tumhari aankhen
Gaate gaate hamain ik shakhs ki yaad aati hai
Bheeeg jaati hain ser-e-bazam hamari aankhen
Jaane kya baat hai kyon dekhti rehti hain
Meri aankhon ki taraf shehar ki saari aankhen.
No comments:
Post a Comment