Pages

Koi Ghazal suna ker kya karna


Koi Ghazal suna ker kya karna
Yoon baat barrha kr kya karna

Tum mere thay tum mere ho
Duniya ko bata kar kya karna

Tum ehad nibhaoo chaahat say
Koi rasm Nibha kar kya krna

Tum khafa bhi ache lagty ho
Phir tum ko mana kar kya karna

Tere dar py aa k bethay hain
Ab ghar bhi ja ker kya krna

Din yaad say acha guzary ga
Pir tum ko bhula kar kya krna.

No comments:

Post a Comment