Maine hai ek dost banaya
jis say main nay apnay saaray qeemti raaz
Apnay saaray qeemti lamhay
Bant liye hain
Jis say main rooz hi batain karta hoon
Rooz hi iss uss say milta hoon
Jis say main nay tumhari saari
batainn bhi keh daalein hain
Aur mujh ko yeh dar bhi nahi hai
Kay woh ja kar mehfil bher
say ziker karay ga
Kaisa acha dost hai mera
Kaisa piyara humraaz hai mera
Janti hoo tum kon hai woh
Woh hai jaana
Kali gahrii raat ka zever
Aasman kay aanchal par takka ek mooti
Hai woh tou ek he hai bus
Teray jasa mere jesa
TANHA RAAT KA TANHA CHAND.
No comments:
Post a Comment