Mera Sawan Bhi Tum Ho Meri Piyaas Bhi Tum Ho
Sehra Ki Baanhon Me Chupi Hoi Aas Bhi Tum Ho
Tum Yun To Buhat Door Buhat Door Ho Mujh Se
Ahsaas Yehi Hota Hai Mery Pass Bhi Tum Ho
Har Zakham Ki Aaghosh Me Hai Dard Tumhara
Har Dard Me Taskeen Ka Ahsaas Bhi Tum Ho
Khoo Jao Tum To Viraan C Ho Jati Hain Raahain
Mil Jao Tum To Jeenay Ka Ahsaas Bhi Tum Ho
Likhtay Hain Hum To TumHi Utartay Ho Qalam Se
Jo Parrhtay Hain To Lehja Bhi Tum Or Awaz Bhi Tum Ho.
No comments:
Post a Comment