Uski paayal agar chhanak jaaye
Gardishe aasmaan bhatak jaaye
Uski hansne ki kaifiyat tauba
Jaise bijli chamak chamak jaaye
Uski gardan ka tazkira sun kar
Jo suraahi hai wo chhalak jaaye
Le agar jhoom kar wo angraai
Zindgi daar par laTak jaaye
Aise bharpoor hai badan uska
Jaise saawan ka aam pak jaaye
Chuur hai aise baankpan uska
Jaise das das k saanp thak jaaye
Haaye us mehjabeen ki yaad
Jaise seene me damm attak jaaye.
No comments:
Post a Comment