Pages

Ham Sokhta Janoun Ki Khatir, Qateel Shifai, Urdu Best Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,

Ham Sokhta Janoun Ki Khatir Aaraish Aarzo-o-Lab Hi Sahi
Jo Barsoun Tum Kar Nah Sakay,Woh Qatal K Saaman Ab Hi Sahi

Ae Baadah-e-Naab K Rakhwalay,Do Ghount Idhar Bhi Pohancha Day
Mayaar-e-Karam Is Mehfil Ka Paimana Naam-o-Nasab Hi Sahi

Jo Kuch Bhi Koi Kehta Hay Kahay,Izhar-e-Tamana To Ho Ga
Ham Ahl-e-Junoon Ki Batoun Main Kuch Pehlo-e-Sooye Adab Hi Sahi

Mojoud Hain Panchi Gulshan Main,Phir Kuin Hay Sakoot-e-Marg Yahan
Pur Shoor Tarano K Badlay Ek Naghmah Zair-e-Lab Hi Sahi

Apnay pah Bharosa Hay Jinko,Naghmat-e-Sehar Bhi Sun lain Gay
Kirnoun Ki Damakti Aahat Tak Naqqara Aakhir Shab Hi Sahi

Aalooda Zubaan Ho Jaye Gi,Insaaf Ki Meethi Boli Hay
Tum Apni Rawish Ko Mat Badlo, Ham Moorad-e-Qehr-o--Ghazab Hi Sahi

Daikha Hay Qateel Aakhir Sab Nay Is Shaukh Ko Bhi Maail-e-Bah Karam
Is Kaar-e-Numayaan K Peechay Gustakhiy-e-Dast-e-Talab Hi Sahi.

No comments:

Post a Comment