Pages

Hijr ka taara doob chala hai, Wasi Shah, Wasi Shah Best Poetry, Heart Touching Poetry By Wasi Shah,


Hijr ka taara doob chala hai, dhalnay lagi hai raat Wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkhon ki barsaat Wasi

Tere baad yeh duniya waalay mujh ko pagal kar dain gay
Khushbu k des mein mujh ko lay chal apnay saath Wasi

Yun hi chup ki mohr laga kar kab tak gum-sum betho gay?
Khamoshi se dum ghut-ta hai, chhairo koi baat Wasi

Aaj tau us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mausam badla, duniya badli, badal gaye haalaat Wasi

Mere ghar khushbu ka yeh raqs ussi k dum se hai
Us k saath chali jaaye gi phoolon ki baaraat Wasi

Chhorr "WASI" ab uski yaadein tujh ko pagal kar dain gi
Tu qatra hai,woh dariya hai,dekh apni auqaat "WASI".

No comments:

Post a Comment