Ager tum apni qismat ka likha tabdeel ker letay


Ager tum apni qismat ka likha tabdeel ker letay
to shayad ham bhi apna raasta tabdeel ker letay

ager ham waqai kam-hosla hotay muhabat main
maraz berhnay se pehlay hi dawa tabdeel ker letay

tumharay sath chalnay per jo dil razi nahi hota
bahut pehlay ham apna fesla tabdeel ker letay

tumhain in mosmon ki kiya khabar milti ager ham bhi
ghutan ke khof se aab-o-hawa tabdeel ker letay

tumhari tarha jinay ka hunar ata to phir shayad
makan apna wohi rekhtay pata tabdeel ker letay

judaai bhi na hoti zindagi bhi sehl ho jati
jo ham ik doosray se mas'la tabdeel ker letay

bahut dhundla gaya yadon ki rim jhim main dil-e-sada
wo mil jata to ham ye aaina tabdeel ker letay.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...