Showing posts with label Best Poetry. Show all posts
Showing posts with label Best Poetry. Show all posts

Two Lines Poetry,

Uss Kaa Mayaar Abhi Mujh Say Judaa Hai Lekin   
Vo Bhi Bikhray Gaa To Ho Jaaye Gaa Meray JaiSaa.

Urdu Best Poetry,

Ye aur baat hay k main chorr chuka ho koza gari
Tere jaisay tu main matti  k bana sakta hon.

LAtest Urdu Poetry Collection, Urdu Imagies Poetry, Urdu Poetry, Urdu Pictures Poetry, Poetry Collection,

 Kisi K dil main kya chupa hay bas KHUDA he janta hay
Dil agar be-neqab hote tu sochu kitnay fasaad hotay.

 Main nadan tha jo wafa ko talash karta raha Ghalib
Ye na socha k ik din apni saans be be-wafa hojaye gi.

 Kabhi hum bhi mohabbat main apnay ap ko badshah samajthay thay
Pata us din chala jab wafa mangthay rahay faqeeron ki tara.

Ik justojo main raat din batkay hain darbadar
Hum ko tumharay pyar ne awara kar diya.

Kudiya nu Bewaffa na kaho Mundeyo


Kudiya nu Bewaffa na kaho Mundeyo
Oh Pehla hi Majboriya diya maariya hundiya Ne

Ek fikar Hunda Babul Di Pagg Da
Duja Samaaj Diya Jimedariya hundiya Ne

Os Nu Bewaffa Kehn tO Phela Socho
Tusi Kine Waffa Nibahi Hai

Karke Badnaam Os nu Kine khushi
Os De Palle Paye Hai

Puchde Haaan ajj mai Ohna Mundeya tO
Je har Kudi Ne Nhi ta
Har Munde ne Kehda Waffa Nibahi hai.

Aapki Shikayaten Hame Pyari Lagti H


Aapki Shikayaten Hame Pyari Lagti H
Jaan Se Keemti Aapki Yaari Lagti H

Sambhal Kar Rakhna Apni Dhadkano Ko
Kyun Ki Aapki Dhadkane V Hume Hamari Lagti.

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo
buhat kara he safar thori door saath chalo

tamaam umr kahan saath deta hai
ye jaanta hoon magar thori door saath chalo

nashe main choor hoon main b tumhain bhi hosh nhi
bara maza ho agar thori door saath chalo

ye aik shab ki mulaqaat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki khabar thori door saath chalo

abhi to door hain chirag raahon k
abhi hai door sehar thori door saath chalo

tawaaf-e-manzil-e-janaan hamain bhi karna hai
Faraz tum bhi agar thori door saath chalo.

Kal raat bazm mein jo mila gulabadan sa tha

Kal raat bazm mein jo mila gulabadan sa tha
Kushboo se us ke lafz the chehara chaman sa tha

dekha use to bol paDe us ke Khad-o-khaal
poochha use to chup sa raha kam-sukhan sa tha

tanhaaiyon ki rut mein bhi lagta tha mutama_in
wo shaKhs apani zaat mein ek anjuman sa tha

wo sadagi pehan ke bhi dil mein utar gaya
uski har ek ada mein ajab bhol-pan sa tha. 

Nazar Ki Qaid Se Aazaad Kar Ke Dekho To

Nazar Ki Qaid Se Aazaad Kar Ke Dekho To
Humein Khud Se Juda Aik Baar Kar Ke Dekho To

Kesa Manzar Aur Kya Sama Hoga Tumhaare Aangan Ka
Humaari Tarhaan Zara Intizaar Kar Ke Dekho To

Kabhi Ehsaas Ke Lamhoon Ko Tum Mehsoos Karoo
Kabhi Dil Ko Dil Ke Paas Kar Ke Dekho To

Asar Hoga Tumhaare Dil Par Bhi MOHABBAT Ka
Kabhi Chahat Se Ghar Aabaad Kar Ke Dekho To

Mohabbat To Apni Manzil Khud Hi Paa Legi
Suno Jaana Mohabbat Aik Baar Kar Ke Dekho To.

Main sun k uski sub batain



Main sun k uski sub batain
Faqat itna hi kehta tha

Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon say riwayat hay

Gilay shikway karo mujh say
Tumhain janan ijazat hay

Magar ik baat meri bhi
Tum yaad rakh laina

Kabhi aisa bhi hota hay
Hawaain rukh badalti hain

Khataain ho hi jati hain
Khafa hona bhi mumkin hay

Khata hona bhi mumkin hay
Hamaisha yaad rakhna tum

Taaluq toot janay say
Kabhi toota nahin kertay.


Koi Ghazal suna ker kya karna


Koi Ghazal suna ker kya karna
Yoon baat barrha kr kya karna

Tum mere thay tum mere ho
Duniya ko bata kar kya karna

Tum ehad nibhaoo chaahat say
Koi rasm Nibha kar kya krna

Tum khafa bhi ache lagty ho
Phir tum ko mana kar kya karna

Tere dar py aa k bethay hain
Ab ghar bhi ja ker kya krna

Din yaad say acha guzary ga
Pir tum ko bhula kar kya krna.

Mujhe Ehsas-e Ulfat tum inayat Q nhi karty


Mujhe Ehsas-e Ulfat tum inayat Q nhi karty
Meri izzat To karty ho-Mohabbat Q nhi karty

Ye saary log kehty Hain k tum chanchal Tabiyat ho
Magar Tum saamny Mery Shrarat Q nhi karty

Jo apni Gftugu main phool Takseem karty ho
kabhi in phoolon ko mujh par Nichhawar Q nhi karty.

Jab shaam k sai dhalne lagte hain

Jab shaam k sai dhalne lagte hain
Is waqt mujhe tumhari yaad satati hai

Tujhe pa kr kho diya hai
Har pal har ghari is baat ka dukh hai

Yehi soch mujhe har lamha tarpate hai
Mujhe tumhari yaad satati hai.

Che hamesha mo sra guluna pa mazar pati shi


Che hamesha mo sra guluna pa mazar pati shi
Raza che dasi mena okro che yaadgaar pati shi

Dasi zama har yo armaan da jwand pa laar pate sho
Laka grevaan da levani che tar pa tar pate shi

Starge me khalqo ta da jobal zra haluna wayee
Pa dase haal ke ba Zama pa cha etbaar pate she

Rasha tar ghare kra da KHIYAL khanaharab lasoona
Che Raqibaan mo hamesha pa sar da daar pate shi.

Betab Se Rehte He Teri Yad Me Aksar


Betab Se Rehte He Teri Yad Me Aksar
Rat Bhar Nhi Sote Teri Yad Me Aksar

Jism Me Dard Ka Bahana Sa Bana K
Hum Toot K Rote He Teri Yad Me Aksr.

Meri Aarzu Hai tuje Piyar Doon


Meri Aarzu Hai tuje Piyar Doon
tujhe Chahaton Se Nikhar Doon

Kahin Aansuon Mein Doob Kar
tujhe Har Gharri Mein Qaraar Doon

Main Janoon-E-Ishq Mein Jhoom Kar
tujhe Qurbaton Ka Hisaar Doon

Mujhe tuj Se Kitna Piyaar Hai
Taaron Ka Kaise Shumaar Doon

Mere Har Taraf teri Soch Hai
Kaise Mein Khud Ko Farar Doon

Aa Kar tu Phir Kahin Jaye Na
tujhe Apni Rooh Mein Utar Doon.

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...