Main sun k uski sub batain



Main sun k uski sub batain
Faqat itna hi kehta tha

Khafa hona mana laina
Yeh sadiyon say riwayat hay

Gilay shikway karo mujh say
Tumhain janan ijazat hay

Magar ik baat meri bhi
Tum yaad rakh laina

Kabhi aisa bhi hota hay
Hawaain rukh badalti hain

Khataain ho hi jati hain
Khafa hona bhi mumkin hay

Khata hona bhi mumkin hay
Hamaisha yaad rakhna tum

Taaluq toot janay say
Kabhi toota nahin kertay.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...