Main aur meri tanhai Aksar ye batein karte hain

Main aur meri tanhai
Aksar ye batein karte hain

Tum hoti to kaisa hota
tu yeh kahti tum woh kahti

Tum is baat pe hairan hoti
tum us baat pe kitni hasti

tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota
Main aur meri tanhai aksar yeh baten karte hain

Yeh raat hai ya teri julfe khuli hui hain hai chandani
ya tumhari nazron se meri raatein dhooli hui hain

Yeh chand hai ya tumhara kangan
sitarain hain ya tumhara aanchal

Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khusboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne

chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kabse gumsum

jabki mujhko bhi yeh khabar hai
Ki tum nahi ho kahin nahi ho

Margar yeh dil hai ki kah raha hai
ki tum yahin ho yahin kahin ho

Majboor yeh haalat edhar bhi hai udhar bhi
Tanhai ki ek raat edhar bhi hai udhar bhi

Kahne ko bahut kuch hai magar kisse kahain hum
Kab tak yuhin khamosh rahein aur sahe hum

Dil kahta hai duniya ki har ek rasm utha dein
Deewar jo hum dono mein hai aaj gira dein

Kyun dil mein sulagte rahain, logo ko bata dein
HAN HUMKO MOHABBAT HAI, 
MOHABBAT HAI, MOHABBAT
Aub dil mein yahi baat edhar bhi hai udhar bhi.

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...