Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se
Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se
Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se
Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar
HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se
Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua
Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se
Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein
Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se
Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake
Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se.
No comments:
Post a Comment