Mujh par nahi uthe the to uth kar kahan gaye


Mujh par nahi uthe the to uth kar kahan gaye
Main shahar main nahin tha to patthar kahan gaye

Kitne hi log pyaas ki shiddat se mar chuke
Main sochta raha ke samander kahan gaye

Main khud hi mezabaan hun mehmaan bhi hun khud
Sab log mujhko ghar pe bulakar kahan gaye

Saiyyad ne rihaai to de di mujhe magar
Mujhko khabar nahi ke mere par kahan gaye

Pichhle dinon ki aandhi main gumbad to gir chuka
“Allah jaane saare kabutar kahan gaye”



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...