Puraane shaharon ke manzar nikalne lagte hain


Puraane shaharon ke manzar nikalne lagte hain
Zameen jahaan bhi khule ghar nikalne lagte hain

Mai kholtaa hoon sadaf motiyon ke chakkar mai
Magar yahaan bhi samunder nikalne lagte hain

To naakhuno ke hunar se nikaaliye sona
Agar kudaal se patthar nikalne lagte hain

Bulandiyon ka tasavvur bhi khoob hota hai
Kabhi kabhi to mere par nikalne lagte hain

Haseen lagtey hain jaadon mai subah ke manzar
Sitaare dhoop pehan kar nikalne lagte hain

Burey dino se bachaana mujhe mere maula
Kareebi dost bhi bach kar nikalne lagte hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...