Ye husn teraa ye ishq meraa
rangiin to hai badnaam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhii koi ilzam sahi
is raat ki nikhari rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zara
nazaro.n ko bahak jaane de zara
zulfo.n ko bikhar jaane de zara
kuchh der ki hi taskin sahi
kuchh der ka hi aaraam sahi
jazbaat ki kaliyaaN chunanaa hai
aur pyaar kaa tohfaa denaa hai
logo.n kii nigaahen kuchh bhi kahen
logo.n se hamen kyaa lenaa hai
Ye Khaas taalluq aapas kaa
duniyaa kii nazar men aam sahi
rusavaai ke Dar se ghabaraa kar
ham tark-e-vafaa kab karate hain
jis dil ko basaa len pahaluu men
us dil ko judaa kab karate hain
jo hashr huaa hai laakhon ka
apanaa bhi vahi anjaam sahi
ye husn teraa ye ishq meraa
rangin to hai badnaam sahi
mujh par to kai ilzaam lage
tujh par bhii koi ilzaam sahi.
No comments:
Post a Comment