Pages

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono.

No comments:

Post a Comment