Pages

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye

Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochhiye
Do din ki zindagi ka mazaa hum se poochhiye

Bhooley hain raftaa-raftaa unhein muddatton mein hum
Qishton mein Khud-kushi ka mazaa hum se poochhiye

Aghaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye
Anjaam-e-aashiqi ka mazaa hum se poochhiye

Jalte diyon mein jalte gharon jaise zau kahaan
Sarkaar raushni ka mazaa hum se poochhiye

Wo jaan hi gaye ki humein un se pyaar hai
Aankhon ki mukhbari ka mazaa hum se poochhiye

Hasne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
Hansiye magar hansi ka mazaa hum se poochhiye

Hum tauba kar ke mar gaye qabl-e-azal Khumaar
Tauheen-e-maikashi ka mazaa hum se poochhiye.

No comments:

Post a Comment