Es baat say hum ko kia mathlab, ye kaysay ho ye kionkar ho
Ik bheek kay 2no kaasay hain, ik pyas kay 2no pyasay hain
Hum khathe hain, tum baadal ho, hum nadiya hain, thum sagar ho
Ye dil hay keh jalthay seenay main, ik dard ka phorha ulharh sa
Na gupth rahay, na phoot bahay, koye marham ho koye nishthar ho
Hum saanj samay ki chaya hain,thum charhte raath ki chadar ma'an
Hum jathay hain thum ayay ho, phir mail ki soorath kionkar ho
Ab husn ka ruthba aali hay, abb husn say sehra khali hay
Chal basthe main banjara ban, chal nagri main saudagar ho
abb Insha g ko bulana kia, abb pyar kay deep jalana kia
jab dhoop aur chaya aik say hoon, jab din aur raath bara bar ho.

No comments:
Post a Comment