Aey nigahe sheesha gar ye kya tamasha ho gaya
Aaina ruswaiyon k dar se dhundhla ho gaya
sajda rezi hi agr hai bais-E-izat-O-sharf
Phir tou har insan se afzal Farishta ho gaya
Aakhrish nikla ye anjam-E-talash-E-rozgar
ibn-E-Adam waqt se pehle hi burha ho gaya
Dafatan uss se bichar k mujhko ye andaza hua
jo musalsal dekhta tha khuwab poora ho gaya
Waqt se pehle parinde aashiyan mn aa gaye
shaam se pehle hi sara shehr soona ho gaya
Jab dikhaye usne mujhko mere asli khadokhal
aaina hathon se gir kar reza reza ho gaya
Qataa kar deti hai Aks saare rishte muflisi
doston ka dushmano jesa ravaiya ho gaya.
No comments:
Post a Comment