Jo daagh dil paiy lagay un ko mita kar jeetay
Kaisay hum un ki jafaon ko bhola kar jeetay
Baat karnay k leye kis ka waseela chahtay
Ya to pathar ka koi bott hai bana kar jeetay
Na andhaira na swaira na kiran ki koi umeed
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay
Jaanay wala koi sobha ka bhoola na tha
Warna darwazaiy paiy shama jala kar jeetay
Rung pheekay thay chaman main bhi gulon k warna
Aashiyaan shaakh-e-gulistan paiy bana kar jeetay
Na koi hud haiy ulfat mai azaadari ki
Na hi laazim tha k hum ansoo baha kar jeetay
Zindagi bhi to badalti hai thikaanay shaukat
Warna momkin tha galay isko laga kar jeetay.
No comments:
Post a Comment