Pages

Jo muj se pocha hai aaj tum ne

Jo muj se pocha hai aaj tum ne
K main tumhara hoon kiya Batao

To khud hi socho tum aik pal ko
Bhalla main kesay tumhin bataon

Hai tum se mera wohi talouq
Hai tum se mera wohi talouq

Jo apnay saaye se hai shajjer ka
Wohi jo khurshed se qammer ka

Gullon se jo hota hai mehak ka
Kissi ki ankhon k must dorron ka

Us k mehboob ki jhalak ka
Main hoon badan to tum is ki jaan ho

Bahar mousam k tarjuman ho
Lahou ki sorat meri ragon main

Her ik lamhey ravan davan ho
Namaz main hoon to azan tum ho

Maken hoon main, to tum makan ho
Zamen hoon main to asman tum ho

Wohi talouq hai tum se mera
Jo dil se hota hai dharkano ka

Khumar se hai jo mehkashoon ka
Jo shairoon se hai mehvishon ka

Jo hussan walon se diljaloon ka
Jo rastoon se hai manziloon ka

Jo manzilon se hai rehbaroon ka
Azal se dharti se parbatoon ka

Wohi jo sager se sahilon ka
Jo rooh se hai kissi badan ka

Wohi jo chanda se hai kiran ka
Jo baghban se kissi chaman ka

Hai guftugo se kissi dehan ka
Jo barishon se zameen ka hai

Ibadaton se jabeen ka hai
Wohi Talouq

Azal se apnay bhi dameain hai
Tumhi baharon ki dilkashi ho

Tumhi to ankhon ki roshni ho
Jo sach kahon Tumhi meri her khushi ho

Tumhi ujala tumhi Hiya ho
Tum arzoo ho tumhi wafa ho

Tamam jazbon ki intaha ho
To kiyon na tum per yeh dil fida ho

Batao Janan
Hai itna hi kafi

K aur kuch bhi tumhin bataon
Jo ho sakey to khiyal rakhna

Tumhara muj se wohi hai rishta
Malaika se jo bandagi ka

Jo marney waley se zindagi ka
Samndron ka jo seep se hai

Wohi jo ankhon ka deep se hai
Wohi Talouq Hai Mera Tum Sey.

No comments:

Post a Comment