Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par
teri soch mein apna waqt bekar nahi karta
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera
islye apne dard ko bayan nahi karta
Jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta
par kuch to baat hai teri fitrat meinzalim
warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta
Aapse nazrein to mila lein par
ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein
jo dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai zindagi
sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum parvana na banade
Dil ke dard ko dil torne wale kya jana
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche
Yeh upar se phool charane wale kya jane.
No comments:
Post a Comment