Shayad fir se wahe taqdir mil jaye

Shayad fir se wahe taqdir mil jaye
jeevan ke who haseen pal mil jaye

chal fir se banae sagar kinare ret ka makan
shayad vapis apna bachpan mil jaye

kholono se dil bhaal jaata tha
shayad kahin se wo kholone mil jaye

wo sukoon ki zindagi wo labon ki muskan
chal dil dhoonde usey jaane kahan se mil jaye

kaisi laagi hai chot jo nishan nahi dekhta
koi to pata bata de jahan se iss ki dawa mil jaye

aansoon ki baarish hone laagi hai
koi to mujhe shahara dene waala mil jaye

ek pal ko bhi palkein band nahi hoti
ab RANI ki dua hai ye ke shayad kabar mein neend mil jaye.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...