Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain
Fareb-e-zindagi ki aag mein insaan jalate hain
Dilon mein azmat-e-tauheed ke deepak afsurda hain
Jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain
Hawas ki bar-yabi hai Khirad-mandon ki mahafil mein
Rupehli tikliyon ki oot mein eman jalate hain
Hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai
Suna hai nakhuda ke naam se toofaan jalate hain
Shagoofe jhoolate hain is chaman mein bhook ke jhoole
Baharon mein nasheman to bahar-e-unwaan jalate hain
Kahin pazeb ki chan-chan mein majboori tarapti hai
Riya dam tod deti hai sunehre daan jalate hain
Manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-may khana
Ibadat se to Sagar dahar ke shaitaan jalate hain.
No comments:
Post a Comment