Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...