Koi gazal suna kar kya karna

Koi gazal suna kar kya karna
Yun baat badha kar kya karna,

Tum meri thi tum meri ho
Duniya ko bata kar kya ,

Tum ehad nibhao chahat se 
koi rasm nibha kar kya karna,

Tum to khafa bhi achi lagti ho
Phir tum ko manaa kar kya karna,

Tere daar pe aa k bethay hai
Ab apne ghar bhi ja kar kya karna,

Din teri yaad se acha guzray ga
Phir tum ko bhula kar kya karna.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...