Kyun pyaar us par hi aata hai

Kyun pyaar us par hi aata hai
Jo mil kar bhi naa mil pata hai,

Kaise yeh usse batayein hum
Tujh bin rah na paayein hum,

Kyun baar baar woh satata hai
Kuwaabon main aakar rulata hai,

Bhulanaa us ko chahein hum
Par kis tarah bhulaayein hum,

Woh mann main har dum rahta hai
Dharkan ki tarah dharkta hai,

Hain issi ehsaas se zindaa hum
Hain ek-duje ke dil o jaan hum,

Ek duje ke dil main rahte hain
Kya pyaar issi ko kahte hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...