Faraz Poetry, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Urdu Poetry, Faraz Heart Touching Poetry, Urdu Poetry By Ahmed Faraz,


Ranjish hii sahi dil hi dukhaane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhorr ke jaane ke liye aa,

Pahale se maraasim na sahi phir bhii kabhi to
Rasm-o-rahe duniyaa hi nibhaane ke liye aa,

Kis kis ko bataaye.nge judaai kaa sabab ham
Tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa,

Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tuu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa,

Ek umr se hun lazzat-e-giriyaa se bhi maharum
Ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa,

Ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummide.n
Ye aaKhiri shamme.n bhi bujhaane ke liye aa,

Maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat
Chupake se kisi roz jataane ke liye aa,

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
Aise hi kisi roz na jaane ke liye aa.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...