Hairaton ke silsilay soz e nihaan tak aa gaye
Hum nazar tak chahtay thay Aap jaan tak aa gaye
Na-muraadi apni qismat gumraahi apna naseeb
Karwaan ki khair ho, Hum karwaan tak aa gaye
Unki palkon per sitaaray Apnay hontton pe hansi
Qissaa e Gham kehty kehty hm kahan tak aa gaye
Apni apni justujuu hai Apna apna shauq hai
Tm hansi tk na pohanchay,Hm faghaan tk aa gaye.
No comments:
Post a Comment