Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai

Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai

Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai

Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai

Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai

Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein
Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai

Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...