Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi
Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi
Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi
Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi
Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi
Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi
Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi
Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi.

No comments:
Post a Comment