Rastay mein diya jala rahi hai

Rastay mein diya jala rahi hai
Jangal ki hawa bula rahi hai

Ab raaz na reh sakay gi chahat
Yeh shoakh,jo gull khila rahi hai

Ik dard para hai palenay mein
Aur yaad usay hila rahi hai

Aankhon pay khulay hain pankh iss kay
Ik aas mujhay sula rahi hai

Chhatri pay sajay hain kuchh kabootar
Aur chandni jhhilmila rahi hai

Thhandak hai badan mein iss bala ki
Ab barf mujhay jala rahi hai

Kis shakl ko bhoolnay lagi main
Kya zeest mujhay bhula rahi hai

Peeni hai nabeez-e-ishq mujh ko
Woh aankh agar pila rahi hai

Phir zindgi jaisay dartay dartay
Ranngon say nazar mila rahi hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...